sine mein dil hai dil mein dagh dagh mein soz-o-saz-e-ishq
sine mein dil hai dil mein dagh dagh mein soz-o-saz-e-ishq
Bedam Shah Warsi
MORE BYBedam Shah Warsi
siine meñ dil hai dil meñ daaġh daaġh meñ soz-o-sāz-e-ishq
parda-ba-parda hai nihāñ parda-nashīñ kā rāz-e-ishq
naaz kabhī niyāz hai aur niyāz nāz-e-ishq
ḳhatm huā na ho kabhī silsila-e-darāz-e-ishq
ishq adā-navāz-e-husn husn karishma-sāz-e-ishq
aaj se kyā azal se hai husn se sāz-bāz-e-ishq
apnī ḳhabar kahāñ unheñ jin pe khulā hai rāz-e-ishq
saare shu.ūr miT ga.e jab huā imtiyāz-e-ishq
hosh-o-ḳhirad bhī al-firāqo-bainī-va-bainaka kaheñ
hazrat-e-dil kā ḳhair se hai safar-e-hijāz-e-ishq
pīr-e-muġhāñ ke pā-e-nāz aur mirā sar-e-niyāz
hotī hai mai-kade meñ rose apnī yūñhī namāz-e-ishq
hasrat-o-yās-o-ārzū shauq kā iqtidā kareñ
kushta-e-ġham kī laash par dhuum se ho namāz-e-ishq
ishq kī zaat hī se hai ḳhūbī-e-husn-o-shān-e-husn
husn ke dam-qadam se hai saarā ye soz-o-sāz-e-ishq
ai dil-e-dardmand phir naala ho koī dil-gudāz
suunī paḌī hai bazm-e-shauq chheḌ de apnā sāz-e-ishq
hosh-o-ḳhirad adū-e-ishq ishq hai dushman-e-ḳhirad
hai na huā na ho kabhī aql se sāz-bāz-e-ishq
'bedam'-e-ḳhasta hai kahāñ asl meñ koī aur hai
zamzama-sanj be-ḳhudī naġhma-tarāz sāz-e-ishq
sine mein dil hai dil mein dagh dagh mein soz-o-saz-e-ishq
parda-ba-parda hai nihan parda-nashin ka raaz-e-ishq
naz kabhī niyaz hai aur niyaz naz-e-ishq
KHatm hua na ho kabhī silsila-e-daraaz-e-ishq
ishq ada-nawaz-e-husn husn karishma-saz-e-ishq
aaj se kya azal se hai husn se saz-baz-e-ishq
apni KHabar kahan unhen jin pe khula hai raaz-e-ishq
sare shuur miT gae jab hua imtiyaz-e-ishq
hosh-o-KHirad bhi al-firaqo-baini-wa-bainaka kahen
hazrat-e-dil ka KHair se hai safar-e-hijaz-e-ishq
pir-e-mughan ke pa-e-naz aur mera sar-e-niyaz
hoti hai mai-kade mein rose apni yunhi namaz-e-ishq
hasrat-o-yas-o-arzu shauq ka iqtida karen
kushta-e-gham ki lash par dhum se ho namaz-e-ishq
ishq ki zat hi se hai KHubi-e-husn-o-shan-e-husn
husn ke dam-qadam se hai sara ye soz-o-saz-e-ishq
ai dil-e-dardmand phir nala ho koi dil-gudaz
suni paDi hai bazm-e-shauq chheD de apna saz-e-ishq
hosh-o-KHirad adu-e-ishq ishq hai dushman-e-KHirad
hai na hua na ho kabhī aql se saz-baz-e-ishq
'bedam'-e-KHasta hai kahan asl mein koi aur hai
zamzama-sanj be-KHudi naghma-taraaz saz-e-ishq
- Book : Nurul-Ain: Mosahhaf-e-Bedam (Pg. 107)
- Author : Bedam Shah Warsi
- Publication : Shaikh Ata Mohammad, Lahore (1935)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.