Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

pas-e-adab mujhe unhen sharm-o-haya na ho

Bedam Shah Warsi

pas-e-adab mujhe unhen sharm-o-haya na ho

Bedam Shah Warsi

MORE BYBedam Shah Warsi

    pās-e-adab mujhe unheñ sharm-o-hayā na ho

    nazzāra-gāh meñ asar-e-mā-sivā na ho

    maanā mirī qubūl nahīñ hai duā na ho

    itnā ho ki us pe asar ġhair na ho

    kyuuñ kar kahūñ ki paas unheñ ġhair na ho

    jo ġhusse meñ bhī kahte haiñ terā burā na ho

    us parde meñ to kitne garebān chaak haiñ

    vo be-hijāb hoñ to ḳhudā jaane kyā na ho

    takiye meñ kyā rakhā hai ḳhat-e-ġhair tarah

    dekhūñ to maiñ navishta-e-qismat mirā na ho

    mil kar gale vo karte haiñ ḳhanjar tarah kaaT

    is par bhī kah rahā huuñ ki mujh se judā na ho

    muusā haal dekh ke dil kāñpne lagā

    ab to duā hai un se mirā sāmnā na ho

    vo baar baar merā lipaTnā shab-e-visāl

    un jhijak ke kahnā koī dekhtā na ho

    'bedam' zindagī hai isī chheḌ-chhāḌ meñ

    tark-e-vafā tarh se tark-e-jafā na ho

    pas-e-adab mujhe unhen sharm-o-haya na ho

    nazzara-gah mein asar-e-ma-siwa na ho

    mana meri qubul nahin hai dua na ho

    itna hi ho ki us pe asar ghair ka na ho

    kyun kar kahun ki pas unhen ghair ka na ho

    jo ghusse mein bhi kahte hain tera bura na ho

    us parde mein to kitne gareban chaak hain

    wo be-hijab hon to KHuda jaane kya na ho

    takiye mein kya rakha hai KHat-e-ghair ki tarah

    dekhun to main nawishta-e-qismat mera na ho

    mil kar gale wo karte hain KHanjar ki tarah kaT

    is par bhi kah raha hun ki mujh se juda na ho

    musa ka haal dekh ke dil kanpne laga

    ab to dua hai un se mera samna na ho

    wo bar bar mera lipaTna shab-e-visal

    un ka jhijak ke kahna koi dekhta na ho

    'bedam' ki zindagi hai isi chheD-chhaD mein

    tark-e-wafa ki tarh se tark-e-jafa na ho

    Source :
    • Book : Jigar Para (Pg. 34)
    • Publication : Khursheed Book Depot (1990)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now