Sufinama

na to apne ghar mein qarar hai na teri gali mein qayam hai

Bedam Shah Warsi

na to apne ghar mein qarar hai na teri gali mein qayam hai

Bedam Shah Warsi

MORE BYBedam Shah Warsi

    na to apne ghar meñ qarār hai na tirī galī meñ qayām hai

    tirī zulf-o-ruḳh farefta kahīñ sub.h hai kahīñ shaam hai

    tire ik na hone se sāqiyā na vo mai na shīsha-o-jām hai

    na vo sub.h ab mirī sub.h hai na vo shaam ab mirī shaam hai

    na to chakhnā jis azaab hai na to piinā jis harām hai

    sar-e-bazm saaqī ne vo mai ki surūr jis mudām hai

    maiñ duā.eñ duuñ to vo gāliyāñ kareñ baat baat par bhabtiyāñ

    ye ajiib taur-o-tarīq haiñ ye ajiib tarz-e-kalām hai

    vo sitam se baaz na ā.eñge yūñhī zulm karte jā.eñge

    unheñ kyā mire ki jiye koī unheñ apne kaam se kaam hai

    mirā dil dahalne lagā abhī do-ghaḌī to duur hai ham-nashīñ

    ḳhabar-e-visāl nahīñ sunī ye mirī qazā payām hai

    bache kis tarah se marīz-e-ġham na tum aa sako na bulā sako

    yahī hālateñ haiñ to dekhnā koī dam meñ qissa tamām hai

    pise dil hazāroñ taḌap ga.e jo sisak rahe the vo mar ga.e

    uThe fitne hashr bapā huā ye ajiib tarz-e-ḳhirām hai

    ajab āshiqoñ namāz hai nayā 'bedam' un niyāz hai

    ki qayām hai na qu.uud hai na to sajda hai na salām hai

    na to apne ghar mein qarar hai na teri gali mein qayam hai

    teri zulf-o-ruKH ka farefta kahin subh hai kahin sham hai

    tere ek na hone se saqiya na wo mai na shisha-o-jam hai

    na wo subh ab meri subh hai na wo sham ab meri sham hai

    na to chakhna jis ka azab hai na to pina jis ka haram hai

    sar-e-bazm saqi ne di wo mai ki surur jis ka mudam hai

    main duaen dun to wo galiyan karen baat baat par bhabtiyan

    ye ajib taur-o-tariq hain ye ajib tarz-e-kalam hai

    wo sitam se baz na aaenge yunhi zulm karte hi jaenge

    unhen kya mere ki jiye koi unhen apne kaam se kaam hai

    mera dil dahalne laga abhi do-ghaDi to dur hai ham-nashin

    KHabar-e-visal nahin suni ye meri qaza ka payam hai

    bache kis tarah se mariz-e-gham na tum aa sako na bula sako

    yahī haalaten hain to dekhna koi dam mein qissa tamam hai

    pise dil hazaron taDap gae jo sisak rahe the wo mar gae

    uThe fitne hashr bapa hua ye ajib tarz-e-KHiram hai

    ajab aashiqon ki namaz hai naya 'bedam' un ka niyaz hai

    ki qayam hai na quud hai na to sajda hai na salam hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now