Sufinama

khinchi hai tasawwur mein taswir-e-ham-aghoshi

Bedam Shah Warsi

khinchi hai tasawwur mein taswir-e-ham-aghoshi

Bedam Shah Warsi

MORE BYBedam Shah Warsi

    khīñchī hai tasavvur meñ tasvīr-e-ham-āġhoshī

    ab hosh na aane de mujh ko mirī be-hoshī

    jaanā hai kho jaanā kho jaanā hai jaanā

    be-hoshī hai hushyārī hushyārī hai be-hoshī

    maiñ sāz-e-haqīqat huuñ dam-sāz-e-haqīqat huuñ

    ḳhāmoshī hai goyā.ī goyā.ī hai ḳhāmoshī

    asrār-e-mohabbat iz.hār hai nā-mumkin

    TuuTā hai na TūTegā qufl-e-dar-e-ḳhāmoshī

    har dil meñ tajallī hai un ke ruḳh-e-raushan

    ḳhurshīd se hāsil hai zarroñ ko ham-āġhoshī

    jo suntā huuñ suntā huuñ maiñ apnī ḳhamoshī se

    jo kahtī hai kahtī hai mujh se mirī ḳhāmoshī

    ye husn-faroshī dūkān hai chilman

    nazzāra nazzāra rūposhī rūposhī

    yaañ ḳhaak zarra bhī laġhzish se nahīñ ḳhālī

    mai-ḳhāna-e-duniyā hai ’ālam-e-be-hoshī

    haañ haañ mire ‘isyāñ parda nahīñ khulne

    haañ haañ tirī rahmat hai kaam ḳhatā-poshī

    is parde meñ poshīda lailā-e-do-’ālam hai

    be-vaj.h nahīñ 'bedam' ka’abe siyah-poshī

    khinchi hai tasawwur mein taswir-e-ham-aghoshi

    ab hosh na aane de mujh ko meri be-hoshi

    pa jaana hai kho jaana kho jaana hai pa jaana

    be-hoshi hai hushyari hushyari hai be-hoshi

    main saz-e-haqiqat hun dam-saz-e-haqiqat hun

    KHamoshi hai goyai goyai hai KHamoshi

    asrar-e-mohabbat ka izhaar hai na-mumkin

    TuTa hai na TuTega qufl-e-dar-e-KHamoshi

    har dil mein tajalli hai un ke ruKH-e-raushan ki

    KHurshid se hasil hai zarron ko ham-aghoshi

    jo sunta hun sunta hun main apni KHamoshi se

    jo kahti hai kahti hai mujh se meri KHamoshi

    ye husn-faroshi ki dukan hai ya chilman

    nazzara ka nazzara ruposhi ki ruposhi

    yan KHak ka zarra bhi laghzish se nahin KHali

    mai-KHana-e-duniya hai ya ’alam-e-be-hoshi

    han han mere ‘isyan ka parda nahin khulne ka

    han han teri rahmat ka hai kaam KHata-poshi

    is parde mein poshida laila-e-do-’alam hai

    be-wajh nahin 'bedam' ka’abe ki siyah-poshi

    Source :
    • Book : Nurul-Ain: Mosahhaf-e-Bedam (Pg. 79)
    • Author : Bedam Shah Warsi
    • Publication : Shaikh Ata Mohammad, Lahore (1935)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now