Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

mujhe jalwon ki uske tamiz ho kya mere hosh-o-hawas baja hi nahin

Bedam Shah Warsi

mujhe jalwon ki uske tamiz ho kya mere hosh-o-hawas baja hi nahin

Bedam Shah Warsi

mujhe jalvoñ us ke tamīz ho kyā mere hosh-o-havās bajā nahīñ

hai ye be-ḳhabarī ki ḳhabar nahīñ vo naqāb uThā ki uThā nahīñ

mire haal pe chhoḌ tabīb mujhe ki azaab hai mirī ziist mujhe

merā marnā mere liye hai shifā mere dard koī davā nahīñ

use DhūñDte-DhūñDte kho ga.e ham ye huā kyā aur kyā ho ga.e ham

hameñ pahroñ tak apnī ḳhabar nahīñ hameñ kosoñ tak apnā pata nahīñ

mirā haal ḳharāb sunā to kahā ki vo sāmne mere na aa.e kabhī

mujhe rote jo dekhā to hañs ke kahā ki ye sheva-e-ahl-e-vafā nahīñ

jahāñ koī sitam ījād kiyā mujhe kah ke falak ne ye yaad kiyā

ki bas ek dil-e-'bedam' ke sivā koī qābil-e-mashq-e-jafā nahīñ

mujhe jalwon ki us ke tamiz ho kya mere hosh-o-hawas baja hi nahin

hai ye be-KHabari ki KHabar hi nahin wo naqab uTha ki uTha hi nahin

mere haal pe chhoD tabib mujhe ki azab hai meri zist mujhe

mera marna hi mere liye hai shifa mere dard ki koi dawa hi nahin

use DhunDte-DhunDte kho gae hum ye hua kya aur kya ho gae hum

hamein pahron tak apni KHabar hi nahin hamein koson tak apna pata hi nahin

mera haal KHarab suna to kaha ki wo samne mere na aae kabhi

mujhe rote jo dekha to hans ke kaha ki ye shewa-e-ahl-e-wafa hi nahin

jahan koi sitam ijad kiya mujhe kah ke falak ne ye yaad kiya

ki bas ek dil-e-'bedam' ke siwa koi qabil-e-mashq-e-jafa hi nahin

Source :
  • Book : Nurul-Ain: Mosahhaf-e-Bedam (Pg. 130)
  • Author : Bedam Shah Warsi
  • Publication : Shaikh Ata Mohammad, Lahore (1935)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now