shadi-o-alam sab se hasil hai subuk-doshi
shādī-o-alam sab se hāsil hai subuk-doshī
sau hosh mire sadqe tujh par mirī be-hoshī
gum hone ko pā jaanā kahte haiñ mohabbat meñ
aur yaad kā rakkhā hai yaañ naam farāmoshī
kal ġhair ke dhoke meñ vo iid mile ham se
kholī bhī to dushman ne taqdīr-e-ham-āġhoshī
vo qulqul-e-mīnā meñ charche mirī tauba ke
aur shīsha-o-sāġhar kī mai-ḳhāne meñ sargoshī
ham rañj bhī paane par mamnūn hī hote haiñ
ham se to nahīñ mumkin ehsān-frāmoshī
hosh aatā hai phir mujh ko phir hosh mujhe aayā
denā nigah-e-sāqī ik sāġhar-e-be-hoshī
kal ’arsa-e-mahshar meñ jab aib khuleñ mere
rahmat tirī phailā de dāmān-e-ḳhatā-poshī
milte hī nazar tujh se mastāna huā 'bedam'
saaqī tirī āñkheñ haiñ yā sāġhar-e-be-hoshī
shadi-o-alam sab se hasil hai subuk-doshi
sau hosh mere sadqe tujh par meri be-hoshi
gum hone ko pa jaana kahte hain mohabbat mein
aur yaad ka rakkha hai yan nam faramoshi
kal ghair ke dhoke mein wo id mile hum se
kholi bhi to dushman ne taqdir-e-ham-aghoshi
wo qulqul-e-mina mein charche meri tauba ke
aur shisha-o-saghar ki mai-KHane mein sargoshi
hum ranj bhi pane par mamnun hi hote hain
hum se to nahin mumkin ehsan-framoshi
hosh aata hai phir mujh ko phir hosh mujhe aaya
dena nigah-e-saqi ek saghar-e-be-hoshi
kal ’arsa-e-mahshar mein jab aib khulen mere
rahmat teri phaila de daman-e-KHata-poshi
milte hi nazar tujh se mastana hua 'bedam'
saqi teri aankhen hain ya saghar-e-be-hoshi
- Book : Nurul-Ain: Mosahhaf-e-Bedam (Pg. 80)
- Author : Bedam Shah Warsi
- Publication : Shaikh Ata Mohammad, Lahore (1935)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.