usko duniya aur na uqba chahiye
us ko duniyā aur na uqbā chāhiye
qais lailā kā hai lailā chāhiye
ab jo kuchh karnā hai karnā chāhiye
aaj hī se fikr-e-fardā chāhiye
un butoñ se dil lagāne ke liye
sach hai patthar kā kaleja chāhiye
dekhnā un kā to qismat meñ nahīñ
dekhne vaale ko dekhā chāhiye
vo nahīñ aa.e to va.ade par na aa.eñ
ai ajal tujh ko to aanā chāhiye
mujh se nafrat hai to nafrat hī sahī
chāhiye ġhairoñ ko achchhā chāhiye
ḳhuld vāloñ ko dikhāne ke liye
ik tire kūche kā naqsha chāhiye
aa ke ab jaatā kahāñ hai tīr-e-nāz
tujh ko mere dil meñ rahnā chāhiye
toḌ kar 'bedam' but-e-pindār ko
dair ko ka.aba banānā chāhiye
us ko duniya aur na uqba chahiye
qais laila ka hai laila chahiye
ab jo kuchh karna hai karna chahiye
aaj hi se fikr-e-farda chahiye
un buton se dil lagane ke liye
sach hai patthar ka kaleja chahiye
dekhna un ka to qismat mein nahin
dekhne wale ko dekha chahiye
wo nahin aae to wade par na aaen
ai ajal tujh ko to aana chahiye
mujh se nafrat hai to nafrat hi sahi
chahiye ghairon ko achchha chahiye
KHuld walon ko dikhane ke liye
ek tere kuche ka naqsha chahiye
aa ke ab jata kahan hai tir-e-naz
tujh ko mere dil mein rahna chahiye
toD kar 'bedam' but-e-pindar ko
dair ko kaba banana chahiye
- Book : Nurul-Ain: Mosahhaf-e-Bedam (Pg. 59)
- Author : Bedam Shah Warsi
- Publication : Shaikh Ata Mohammad, Lahore (1935)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.