tum KHafa ho to achchha KHafa ho
tum ḳhafā ho to achchhā ḳhafā ho
ai buto kyā kisī ke ḳhudā ho
apne mastoñ kī ḳhairāt saaqī
ek sāġhar mujhe bhī atā ho
kuchh rahā bhī hai bīmār-e-ġham meñ
ab davā ho to kis kī davā ho
aao mil lo shab-e-va.ada aa kar
sub.h tak phir ḳhudā jaane kyā ho
tū ne mujh ko kahīñ kā na rakkhā
ai dil-e-zār terā burā ho
ġhusse meñ bhī rahā pās-e-dushman
kah rahe haiñ ki terā bhalā ho
tum ko 'bedam' hamīñ jānte haiñ
pārsā ho baḌe pārsā ho
tum KHafa ho to achchha KHafa ho
ai buto kya kisi ke KHuda ho
apne maston ki KHairaat saqi
ek saghar mujhe bhi ata ho
kuchh raha bhi hai bimar-e-gham mein
ab dawa ho to kis ki dawa ho
aao mil lo shab-e-wada aa kar
subh tak phir KHuda jaane kya ho
tu ne mujh ko kahin ka na rakkha
ai dil-e-zar tera bura ho
ghusse mein bhi raha pas-e-dushman
kah rahe hain ki tera bhala ho
tum ko 'bedam' hamin jaante hain
parsa ho baDe parsa ho
- Book : Nurul-Ain: Mosahhaf-e-Bedam (Pg. 79)
- Author : Bedam Shah Warsi
- Publication : Shaikh Ata Mohammad, Lahore (1935)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.