Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

daru-e-dard-e-nihan rahat-e-jaani sanama

Bedam Shah Warsi

daru-e-dard-e-nihan rahat-e-jaani sanama

Bedam Shah Warsi

MORE BYBedam Shah Warsi

    dārū-e-dard-e-nihāñ rāhat-e-jānī sanamā

    iisā murda-dilāñ yūsuf-e-sānī sanamā

    tere sadqe mirī jaañ tujh pe mirā dil qurbāñ

    vāris-e-kaun-o-makāñ faḳhr-e-zamānī sanamā

    terā har jalvā hai ā.īna-e-asrār-e-azal

    terī sūrat meñ haiñ anvar-e-ma.ānī sanamā

    dil ke dāġhoñ ko kaleje se lagā rakkhā hai

    ki yahī daaġh to haiñ terī nishānī sanamā

    jab qissa-e-ġham se mire ghabrātā hai

    phir sune kaun mire ġham kahānī sanamā

    tā-kujā ashk bujhā.eñge mire dil lagī

    phūñke detā hai mujhe soz-e-nihānī sanamā

    vaqf sajda hai tire dar pe jabīn-e-'bedam'

    qibla-e-dil sanamā ka.aba-e-jānī sanamā

    daru-e-dard-e-nihan rahat-e-jaani sanama

    isa murda-dilan yusuf-e-sani sanama

    tere sadqe meri jaan tujh pe mera dil qurban

    waris-e-kaun-o-makan faKHr-e-zamani sanama

    tera har jalwa hai aaina-e-asrar-e-azal

    teri surat mein hain anwar-e-maani sanama

    dil ke daghon ko kaleje se laga rakkha hai

    ki yahī dagh to hain teri nishani sanama

    tu hi jab qissa-e-gham se mere ghabraata hai

    phir sune kaun mere gham ki kahani sanama

    ta-kuja ashk bujhaenge mere dil ki lagi

    phunke deta hai mujhe soz-e-nihani sanama

    waqf sajda hai tere dar pe jabin-e-'bedam'

    qibla-e-dil sanama kaba-e-jaani sanama

    Source :
    • Book : Nurul-Ain: Mosahhaf-e-Bedam (Pg. 92)
    • Author : Bedam Shah Warsi
    • Publication : Shaikh Ata Mohammad, Lahore (1935)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now