jis ko dekha yar tera aashiq-e-na-dida hai
jis ko dekhā yaar terā āshiq-e-nā-dīda hai
mujh pe kyā mauqūf ik a.alam terā girvīda hai
mubtalā hai dil to jān-e-nā-tavāñ girvīda hai
dīda-e-dīdār jo tere liye nam-dīda hai
apnī hastī kī ḳhabar le mardum-e-dīda na ban
dūsroñ ko dekhtā hai aap se nā-dīda hai
dil hai kyā vo dil ki jis dil meñ na ho ulfat tirī
vah bhī kyā diida jo terī diid se nā-dīda hai
be-hijābī ye ki har zarra meñ hai jalva-garī
phir hijāb aisā ki apne aap se poshīda hai
āshiq-e-nākām jalva meñ bhī hai hirmāñ-nasīb
jis ko diida samjhā hai ai dil vahī nā-dīda hai
muntazir hai aap ke jalve kī nargis baaġh meñ
gul garebāñ-chāk shabnam ik taraf nam-dīda hai
ruuh se har dam ye rahtā hai taqāzā-e-rasūl
ab utāro yah qabā-e-'unsurī bosīda hai
dekh kar mujh ko pashemāñ hañs ke rahmat ne kahā
kaun sā vah jurm hai 'bedam' jo nā-bakHshīda hai
jis ko dekha yar tera aashiq-e-na-dida hai
mujh pe kya mauquf ek aalam tera girwida hai
mubtala hai dil to jaan-e-na-tawan girwida hai
dida-e-didar jo tere liye nam-dida hai
apni hasti ki KHabar le mardum-e-dida na ban
dusron ko dekhta hai aap se na-dida hai
dil hai kya wo dil ki jis dil mein na ho ulfat teri
wah bhi kya dida jo teri did se na-dida hai
be-hijabi ye ki har zarra mein hai jalwa-gari
phir hijab aisa ki apne aap se poshida hai
aashiq-e-nakaam jalwa mein bhi hai hirman-nasib
jis ko dida samjha hai ai dil wahi na-dida hai
muntazir hai aap ke jalwe ki nargis bagh mein
gul gareban-chaak shabnam ek taraf nam-dida hai
ruh se har dam ye rahta hai taqaza-e-rasul
ab utaro yah qaba-e-'unsuri bosida hai
dekh kar mujh ko pasheman hans ke rahmat ne kaha
kaun sa wah jurm hai 'bedam' jo na-bakHshida hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.