mujhi se puchhte ho main hi batla dun ki tum kya ho
mujhi se puchhte ho main hi batla dun ki tum kya ho
Bedam Shah Warsi
MORE BYBedam Shah Warsi
mujhī se pūchhte ho maiñ hī batlā duuñ ki tum kyā ho
tajallī tūr-e-sīnā kī mere ghar kā ujālā ho
musalmāñ nā-musalmāñ gabr ho kāfir ho tarsā ho
vahī achchhā hai ai jaañ jo terī nazroñ meñ achchhā ho
tumārā to adā se mārnā bhī zinda karnā hai
kisī kā koī iisā ho mire to tum masīhā ho
maiñ ḳhush huuñ hijr kī saarī balā.eñ mere sar jaa.eñ
magar ai gesū-e-jānāñ na terā baal bekā ho
zarā kuchh aur bhī himmat nikal jaaye merī hasrat
vah aatā hai nazar bāb-e-asar ai nā-tavāñ aahū
kisī kī nīchī nazroñ ne kiyā kār-e-masīhā.ī
anokhī baat hai bīmār se bīmār achchhā ho
ye kis ne kah diyā tum be-naqāb aao qiyāmat meñ
kise manzūr thā aur hashr meñ ik hashr barpā ho
maiñ kah sakta huuñ lekin aap merā muñh na khulvā.eñ
samajh leñ āñkhoñ hī āñkhoñ meñ jo merī tamannā ho
vo sun kar shikva-e-zulm-o-sitam jhunjhlā ke kahte haiñ
ki hamne kab kahā thā ham hasīñ haiñ tum hameñ chāho
tumhārī justujū jis jis jagah le jaa.e jā.eñge
hameñ is se ġharaz kyā hai vah ka.aba ho kalīsā ho
vo dildārī kā va.ada karte haiñ 'bedam' qasam khā kar
tasadduq kar do tum bhī jaan ko ab dekhte kyā ho
mujhi se puchhte ho main hi batla dun ki tum kya ho
tajalli tur-e-sina ki mere ghar ka ujala ho
musalman na-musalman gabr ho kafir ho tarsa ho
wahi achchha hai ai jaan jo teri nazron mein achchha ho
tumara to ada se marna bhi zinda karna hai
kisi ka koi isa ho mere to tum masiha ho
main KHush hun hijr ki sari balaen mere sar jaen
magar ai gesu-e-jaanan na tera baal beka ho
zara kuchh aur bhi himmat nikal jaye meri hasrat
wah aata hai nazar bab-e-asar ai na-tawan aahu
kisi ki nichi nazron ne kiya kar-e-masihai
anokhi baat hai bimar se bimar achchha ho
ye kis ne kah diya tum be-naqab aao qiyamat mein
kise manzur tha aur hashr mein ek hashr barpa ho
main kah sakta hun lekin aap mera munh na khulwaen
samajh len aankhon hi aankhon mein jo meri tamanna ho
wo sun kar shikwa-e-zulm-o-sitam jhunjhla ke kahte hain
ki hamne kab kaha tha hum hasin hain tum hamein chaho
tumhaari justuju jis jis jagah le jae jaenge
hamein is se gharaz kya hai wah kaba ho kalisa ho
wo dildari ka wada karte hain 'bedam' qasam kha kar
tasadduq kar do tum bhi jaan ko ab dekhte kya ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.