jhuk ke saghar se gale milta hai paimane ki id
jhuk ke sāġhar se gale miltā hai paimāne kī ii.d
apnī hastī se guzar jaanā hai mastāne kī ii.d
tujh pe sadqe ho ke mar jaanā merī me.arāj hai
sham.a par qurbān ho jaanā hai parvāne kī ii.d
miltā āġhosh-e-lahad se jā ke gar miltā na tū
ab ke vīrāne meñ hotī tere dīvāne kī ii.d
ham-baġhal rakhtā huuñ tasvīr-e-ḳhyālī yaar kī
dekh le agar koī mere sanam-ḳhāne kī ii.d
ye bhī koī ii.d hai 'bedam' ki saaqī hai na jaam
ii.d to jab thī ki hotī mujh ko mai-ḳhāne kī ii.d
jhuk ke saghar se gale milta hai paimane ki id
apni hasti se guzar jaana hai mastane ki id
tujh pe sadqe ho ke mar jaana meri mearaj hai
shama par qurban ho jaana hai parwane ki id
milta aaghosh-e-lahad se ja ke gar milta na tu
ab ke virane mein hoti tere diwane ki id
ham-baghal rakhta hun taswir-e-KHyali yar ki
dekh le agar koi mere sanam-KHane ki id
ye bhi koi id hai 'bedam' ki saqi hai na jam
id to jab thi ki hoti mujh ko mai-KHane ki id
- Book : Armaghan-e-Bedam
- Author :Bedam Shah Warsi
- Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1918)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.