apni hasti ka agar wasf numayan ho jae
apnī hastī kā agar vasf numāyāñ ho jaa.e
aadmī kasrat-e-anvār se hairāñ ho jaa.e
tum jo chāho to mere dard kā darmāñ ho jaa.e
varna mushkil hai ki mushkil mirī āsāñ ho jaa.e
au namak-pāsh tujhe apnī malāhat kī qasam
baat to jab hai ki har zaḳhm namak-dāñ ho jaa.e
dene vaale tujhe denā hai to itnā dede
ki mujhe shikva-e-kotāhī-e-dāmāñ ho jaa.e
apni hasti ka agar wasf numayan ho jae
aadmi kasrat-e-anwar se hairan ho jae
tum jo chaho to mere dard ka darman ho jae
warna mushkil hai ki mushkil meri aasan ho jae
au namak-pash tujhe apni malahat ki qasam
baat to jab hai ki har zaKHm namak-dan ho jae
dene wale tujhe dena hai to itna dede
ki mujhe shikwa-e-kotahi-e-daman ho jae
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.II (Pg. 75)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.