dil hi kho baiThe dil lagi kaisi
dil hī kho baiThe dil lagī kaisī
tum se bichhḌe to zindagī kaisī
mere marte hī merī mayyat par
phuuT kar roī be-kasī kaisī
shuġhl-e-girya meñ sab bhalā baiThe
jānte hī nahīñ hañsī kaisī
ab to aa hosh meñ dil-e-betāb
vasl meñ bhī ye be-ḳhudī kaisī
naza.a meñ pahuñchte haiñ vo 'bedam'
ab tabī.at hai aap kī kaisī
dil hi kho baiThe dil lagi kaisi
tum se bichhDe to zindagi kaisi
mere marte hi meri mayyat par
phuT kar roi be-kasi kaisi
shughl-e-girya mein sab bhala baiThe
jaante hi nahin hansi kaisi
ab to aa hosh mein dil-e-betab
wasl mein bhi ye be-KHudi kaisi
naza mein pahunchte hain wo 'bedam'
ab tabiat hai aap ki kaisi
- Book : Kulliyat-e-Bedam (Pg. 412)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.