kalisa mein ho kaba mein ho but-KHane ke andar ho
kalīsā meñ ho ka.aba meñ ho but-ḳhāne ke andar ho
ġharaz ye hai kahīñ ho un kā nazzāra mayassar ho
bas ab us ko na pūchho rahne do kyā kyā ho kyuuñ kar ho
kaTārī ho chhurī ho tiir ho nashtar ho ḳhanjar ho
mirā sar un kī chaukhaT un kī chaukhaT ho mirā sar ho
agar qismat meñ chakkar hai to us rauza kā chakkar ho
qiyāmat meñ jo yā-rab tābish-e-ḳhurshed-e-mahshar ho
to sar par chatar ban kar sāya-e-dāmān-e-haidar ho
vo aa.eñ jabki mushtāq thā aape se bāhar ho
ye kyā milnā ki jab milnā na milne ke barābar ho
shahanshāh-e-hasīnāñ ho parī-zādoñ ke afsar ho
koī behtar hai a.alam meñ to tum behtar se behtar ho
bas is meñ shak nahīñ 'āshiq-navāzī ḳhatm tum par
ḳhudā rakhe tumheñ tum āftāb-e-zarra-parvāna ho
ye hasrat hai ki 'bedam' zindagī ho yā mirā marnā
jo kuchh honā hai ab to kūcha-e-jānāñ meñ chal kar ho
kalisa mein ho kaba mein ho but-KHane ke andar ho
gharaz ye hai kahin ho un ka nazzara mayassar ho
bas ab us ko na puchho rahne do kya kya ho kyun kar ho
kaTari ho chhuri ho tir ho nashtar ho KHanjar ho
mera sar un ki chaukhaT un ki chaukhaT ho mera sar ho
agar qismat mein chakkar hai to us rauza ka chakkar ho
qiyamat mein jo ya-rab tabish-e-KHurshed-e-mahshar ho
to sar par chatar ban kar saya-e-daman-e-haidar ho
wo aaen jabki mushtaq tha aape se bahar ho
ye kya milna ki jab milna na milne ke barabar ho
shahanshah-e-hasinan ho pari-zadon ke afsar ho
koi behtar hai aalam mein to tum behtar se behtar ho
bas is mein shak nahin 'ashiq-nawazi KHatm tum par
KHuda rakhe tumhein tum aaftab-e-zarra-parwana ho
ye hasrat hai ki 'bedam' zindagi ho ya mera marna
jo kuchh hona hai ab to kucha-e-jaanan mein chal kar ho
- Book : Kulliyat-e-Bedam (Pg. 558)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.