parda-dari ke ’ewaz badnam-o-ruswa kar diya
parda-dārī ke ’evaz badnām-o-rusvā kar diyā
ai ḳhayāl-e-yār kyā karnā thā aur kyā kar diyā
ḳhuub bīmār-e-mohabbat kā mudāvā kar diyā
maar Daalā phir bhī kahte ho ki achchhā kar diyā
un ko sakta ho gayā kaisā ishāra kar diyā
ai nigāh-e-yās āḳhir tuune ye kyā kar diyā
saiñkaḌoñ ko raah par laa.e kho.e hue
kyā nazar thī jis ne murdoñ ko masīhā kar diyā
ik tirī chashm-e-karam ne sāqī-e-banda-navāz
zarra ko ḳhurshed aur qatra ko dariyā kar diyā
ye kiyā furqat meñ un kī yaad ne aakar sulūk
baiThe-biThā.e jigar meñ dard paidā kar diyā
āñkhoñ hī āñkhoñ meñ 'bedam' kah ga.e ham hāl-e-dil
parde hī parde meñ iz.hār-e-tamannā kar diyā
parda-dari ke ’ewaz badnam-o-ruswa kar diya
ai KHayal-e-yar kya karna tha aur kya kar diya
KHub bimar-e-mohabbat ka mudawa kar diya
mar Dala phir bhi kahte ho ki achchha kar diya
un ko sakta ho gaya kaisa ishaara kar diya
ai nigah-e-yas aaKHir tune ye kya kar diya
sainkaDon ko rah par lae khoe hue
kya nazar thi jis ne murdon ko masiha kar diya
ek teri chashm-e-karam ne saqi-e-banda-nawaz
zarra ko KHurshed aur qatra ko dariya kar diya
ye kiya furqat mein un ki yaad ne aakar sulūk
baiThe-biThae jigar mein dard paida kar diya
aankhon hi aankhon mein 'bedam' kah gae hum haal-e-dil
parde hi parde mein izhaar-e-tamanna kar diya
- Book : Kulliyat-e-Bedam (Pg. 576)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.