qasr-e-jaanan tak rasai ho kisi tadbir se
qasr-e-jānāñ tak rasā.ī ho kisī tadbīr se
tā.ir-e-jān ke liye par maañg luuñ maiñ tiir se
un ko kyā dhokā huā mujh nā-tavāñ ko dekh kar
merī sūrat kyuuñ milāte haiñ mirī tasvīr se
gāliyāñ de kar bajā.e qum ke ai rashk-e-masīh
aap ne mere jalā.e haiñ na.ī tadbīr se
sadqe ai qātil āb-e-dam-e-shamshīr se
tishnagī jaatī rahī āb-e-dam-e-shamshīr se
kuchh na ho ai inqalāb-e-āsmān itnā to ho
ġhair kī qismat badal jaaye mirī taqdīr se
zindagī se kyuuñ na ho nafrat ke mahv zulf huuñ
qaid-e-hastī mujh ko 'bedam' kam nahīñ zanjīr se
qasr-e-jaanan tak rasai ho kisi tadbir se
tair-e-jaan ke liye par mang lun main tir se
un ko kya dhoka hua mujh na-tawan ko dekh kar
meri surat kyun milate hain meri taswir se
galiyan de kar bajae qum ke ai rashk-e-masih
aap ne mere jalae hain nai tadbir se
sadqe ai qatil aab-e-dam-e-shamshir se
tishnagi jati rahi aab-e-dam-e-shamshir se
kuchh na ho ai inqalab-e-asman itna to ho
ghair ki qismat badal jaye meri taqdir se
zindagi se kyun na ho nafrat ke mahw zulf hun
qaid-e-hasti mujh ko 'bedam' kam nahin zanjir se
- Book : Kulliyat-e-Bedam (Pg. 463)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.