mera dil us pe nazan hai ki dil hun par main wo dil hun

mera dil us pe nazan hai ki dil hun par main wo dil hun
Bedam Shah Warsi
MORE BYBedam Shah Warsi
mirā dil us pe nāzāñ hai ki dil huuñ par maiñ vo dil huuñ
zamāna jis kā majnūñ hai maiñ us lailā kā mahmil huuñ
taḌapnā bhī na aayā ho jise vo murġh-e-bismil huuñ
jo apnī hī lagī meñ jal bujhe vo sham.a-e-mahfil huuñ
sabā mere tan-e-kāhīda ko to hī uḌā le chal
ki dūr-uftāda huuñ darmāñda huuñ gum-karda manzil huuñ
muqir hai dil ki vo aa.eñ to mujh meñ kyā kareñ ā-kar
sarāpā ġham-kade kī shakl huuñ andoh manzil huuñ
mirā ḳhuuñ bhī vo jaadū hai ki sar par chaḌh ke bolegā
sar-e-mahshar pukār uTThoge tum maiñ terā qātil huuñ
liye baiThā huuñ maiñ apnā dil sad-pāra mahfil meñ
koī ik dil se shāmil ho to maiñ sau dil se shāmil huuñ
ḳhudā rakhe mirī sustī kā zāhid kyā Thikānā hai
yahāñ tak be-ḳhudī hai apnī hastī se bhī ġhāfil huuñ
maiñ āvāz-e-jaras huuñ ham-nashīñ yā nighat-e-gul huuñ
ki sab se duur bhī huuñ aur maiñ phir sab meñ shāmil huuñ
nahīñ ma.alūm kyā kah kar chhurī pherī thī gurdoñ par
ki shah-e-rag se sadā aatī hai maiñ mamnūn qātil huuñ
sitam par naaz hai un ko mujhe zabt-o-tahammul par
jafāon meñ vo yaktā maiñ vafādārī meñ kāmil huuñ
unheñ mahfil se kyuuñ mere nikalvāne kī koshish hai
nasīb-e-dushmanāñ kyā ġhair kī maiñ hasrat-e-dil huuñ
vo āsāñ huuñ ki āsānī se har mushkil meñ phañs jā۔ūñ
na āsānī se jo āsāñ ho vo dushvār mushkil huuñ
na dil is zulf meñ phañstā na ye mujh par balā aatī
usī kam-baḳht ke hāthoñ meñ pāband-e-salāsil huuñ
shikāyat un se jab karatā huuñ apnī be-qarārī kī
to kahte haiñ ki kyā maiñ bā.is-e-betābī-e-dil huuñ
gulistān-e-jahāñ meñ nighat-e-gul kī tarah 'bedam'
judā bhī huuñ usī majma.a se jis majma.a meñ shāmil huuñ
mere sar par hai 'bedam' sāyā-e-mahbūb-e-subhānī
ġhulām-e-qādarī huuñ maiñ murīd-e-shaikh-e-kāmil huuñ
mera dil us pe nazan hai ki dil hun par main wo dil hun
zamana jis ka majnun hai main us laila ka mahmil hun
taDapna bhi na aaya ho jise wo murgh-e-bismil hun
jo apni hi lagi mein jal bujhe wo shama-e-mahfil hun
saba mere tan-e-kahida ko to hi uDa le chal
ki dur-uftada hun darmanda hun gum-karda manzil hun
muqir hai dil ki wo aaen to mujh mein kya karen aa-kar
sarapa gham-kade ki shakl hun andoh manzil hun
mera KHun bhi wo jadu hai ki sar par chaDh ke bolega
sar-e-mahshar pukar uTThoge tum main tera qatil hun
liye baiTha hun main apna dil sad-para mahfil mein
koi ek dil se shamil ho to main sau dil se shamil hun
KHuda rakhe meri susti ka zahid kya Thikana hai
yahan tak be-KHudi hai apni hasti se bhi ghafil hun
main aawaz-e-jaras hun ham-nashin ya nighat-e-gul hun
ki sab se dur bhi hun aur main phir sab mein shamil hun
nahin malum kya kah kar chhuri pheri thi gurdon par
ki shah-e-rag se sada aati hai main mamnun qatil hun
sitam par naz hai un ko mujhe zabt-o-tahammul par
jafaon mein wo yakta main wafadari mein kaamil hun
unhen mahfil se kyun mere nikalwane ki koshish hai
nasib-e-dushmanan kya ghair ki main hasrat-e-dil hun
wo aasan hun ki aasani se har mushkil mein phans ja۔un
na aasani se jo aasan ho wo dushwar mushkil hun
na dil is zulf mein phansta na ye mujh par bala aati
usi kam-baKHt ke hathon mein paband-e-salasil hun
shikayat un se jab karata hun apni be-qarari ki
to kahte hain ki kya main bais-e-betabi-e-dil hun
gulistan-e-jahan mein nighat-e-gul ki tarah 'bedam'
juda bhi hun usi majma se jis majma mein shamil hun
mere sar par hai 'bedam' saya-e-mahbub-e-subhani
ghulam-e-qadari hun main murid-e-shaikh-e-kaamil hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.