bedar karaun kis ko mein izhaar-e-mohabbat
bedār karauñ kis ko meñ iz.hār-e-mohabbat
bas dil hai mirā mahram-e-asrār-e-mohabbat
ai sham-e-dil-afroz shab-e-tār-e-mohabbat
tujh se hī hai ye garmī-e-bāzār-e-mohabbat
har bul-havas us jins kā hotā nahīñ ḳhvāhāñ
jaañ baḳhtagāñ hoveñ ḳharīdār-e-mohabbat
sābit-qadam us rah meñ jo haiñ jo sham.a ke mānind
sar dete haiñ karte nahīñ iz.hār-e-mohabbat
ai lāla-ruḳhāñ us ke ta.iiñ daaġh na samjho
phūle hiye mire siine meñ gulzār-e-mohabbat
ai shaiḳh qadam rakhiyo na is raah meñ zinhār
hai sajda shikan rishta-e-zunnār-e-mohabbat
go ham se chhupāyā bhī to bedār va lekin
ankār bhī terā hai ye iqrār-e-mohabbat
rahtā hai mirī jaañ kahīñ ishaq bhī maḳhfī
zāhir hai tirī shakl se āsār-e-mohabbat
bedar karaun kis ko mein izhaar-e-mohabbat
bas dil hai mera mahram-e-asrar-e-mohabbat
ai sham-e-dil-afroz shab-e-tar-e-mohabbat
tujh se hi hai ye garmi-e-bazar-e-mohabbat
har bul-hawas us jins ka hota nahin KHwahan
jaan baKHtagan howen KHaridar-e-mohabbat
sabit-qadam us rah mein jo hain jo shama ke manind
sar dete hain karte nahin izhaar-e-mohabbat
ai lala-ruKHan us ke tain dagh na samjho
phule hiye mere sine mein gulzar-e-mohabbat
ai shaiKH qadam rakhiyo na is rah mein zinhaar
hai sajda shikan rishta-e-zunnar-e-mohabbat
go hum se chhupaya bhi to bedar wa lekin
ankar bhi tera hai ye iqrar-e-mohabbat
rahta hai meri jaan kahin ishaq bhi maKHfi
zahir hai teri shakl se aasar-e-mohabbat
- Book : Diwan-e-Bedar Edited: Mohammad Husain Mahwi (Pg. 31)
- Author : Meer Mohammad 'Bedar'
- Publication : Shahi Press Tizlipkian, Madras (1935)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.