ishq ne husn ka nikhaar kiya
ishq ne husn kā nikhār kiyā
tere jalvoñ ko āshkār kiyā
hai merī shām-e-ġham udaas to ho
tum ne kyuuñ dil ko sogvār kiyā
baḳhshishoñ ne mujhe navāzā hai
rahmatoñ ne gunāhgār kiyā
dāman-e-dil meñ jo bhī gul aayā
jaan rañgīnī-e-bahār kiyā
dil ne lākhoñ fareb khaa.e haiñ
phir bhī us be-vafā ko pyaar kiyā
kis kā shikvā karūñ maiñ ai 'bedār'
ḳhud mirī aarzū ne ḳhvār kiyā
ishq ne husn ka nikhaar kiya
tere jalwon ko aashkar kiya
hai meri sham-e-gham udas to ho
tum ne kyun dil ko sogwar kiya
baKHshishon ne mujhe nawaza hai
rahmaton ne gunahgar kiya
daman-e-dil mein jo bhi gul aaya
jaan rangini-e-bahaar kiya
dil ne lakhon fareb khae hain
phir bhi us be-wafa ko pyar kiya
kis ka shikwa karun main ai 'bedar'
KHud meri aarzu ne KHwar kiya
- Book : Aaina-e-Ehsas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.