meri aankhon se wo aaine mein surat dekhte
Interesting Fact
(اردو ئے معلیٰ علی گڑھ۔ماہ نومبر ۱۹۱۲ء)
merī āñkhoñ se vo ā.īne meñ sūrat dekhte
phir sambhal kar apnī hālat merī hālat dekhte
un ke dar par naqsh-bar-dīvār hote kaash ham
āte-jāte log ik tasvīr-e-hasrat dekhte
kyā ḳhabar kyā guzrī ham par jalva-gāh-e-nāz meñ
ham vo jalve dekhte yā apnī hālat dekhte
dekhne vāloñ kī āñkhoñ meñ samā.ī jo vo shakl
log phir un dekhne vāloñ kī sūrat dekhte
be-nishānī ne bhulāyā haaye un ke dil se bhī
yaad to karte mujhe jab mirī turbat dekhte
dekh to lete haiñ vo ham se ġharīboñ kī taraf
ye bhī hai ai dil bahut duniyā kī hālat dekhte
diid se allāh vāloñ kī thī nafrat kyā zarūr
us sanam ko dekhte aur us kī qudrat dekhte
hotī haiñ ġhusse meñ chaar āñkheñ to un se 'benazīr'
varna vo āñkheñ dikhāte aur hazrat dekhte
meri aankhon se wo aaine mein surat dekhte
phir sambhal kar apni haalat meri haalat dekhte
un ke dar par naqsh-bar-diwar hote kash hum
aate-jate log ek taswir-e-hasrat dekhte
kya KHabar kya guzri hum par jalwa-gah-e-naz mein
hum wo jalwe dekhte ya apni haalat dekhte
dekhne walon ki aankhon mein samai jo wo shakl
log phir un dekhne walon ki surat dekhte
be-nishani ne bhulaya haye un ke dil se bhi
yaad to karte mujhe jab meri turbat dekhte
dekh to lete hain wo hum se gharibon ki taraf
ye bhi hai ai dil bahut duniya ki haalat dekhte
did se allah walon ki thi nafrat kya zarur
us sanam ko dekhte aur us ki qudrat dekhte
hoti hain ghusse mein chaar aankhen to un se 'benazir'
warna wo aankhen dikhate aur hazrat dekhte
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 52)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.