tasalli-e-dil mubtala ki to hoti
Interesting Fact
(اردو ئے معلیٰ علی گڑھ۔ماہ دسمبر۱۹۱۲ء)
tasallī-e-dil mubtalā kī to hotī
kisī se bhī us ne vafā kī to hotī
vo sunte na sunte vo aate na aate
vahāñ tak rasā.ī duā kī to hotī
kisī se to zāhid ko hotī mohabbat
butoñ kī na hotī ḳhudā kī to hotī
na khiltī kalī go mirī aarzū kī
girah un ke band-e-qabā kī to hotī
ye pahle hī se bad-gumānī hai kaisī
samā.at mire mudda.ā kī to hotī
vo haiñ riñd hī ḳhush haiñ jo zillatoñ meñ
yahī gat kisī pārsā kī to hotī
gilā 'benazīr' us kī rahmat se kyā hai
kabhī dil se tū ne duā kī to hotī
tasalli-e-dil mubtala ki to hoti
kisi se bhi us ne wafa ki to hoti
wo sunte na sunte wo aate na aate
wahan tak rasai dua ki to hoti
kisi se to zahid ko hoti mohabbat
buton ki na hoti KHuda ki to hoti
na khilti kali go meri aarzu ki
girah un ke band-e-qaba ki to hoti
ye pahle hi se bad-gumani hai kaisi
samaat mere muddaa ki to hoti
wo hain rind hi KHush hain jo zillaton mein
yahī gat kisi parsa ki to hoti
gila 'benazir' us ki rahmat se kya hai
kabhi dil se tu ne dua ki to hoti
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 52)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.