tere gham ne ye din dikhaya mujhe
tere ġham ne ye din dikhāyā mujhe
ki mujh se hī āḳhir chhuḌāyā mujhe
huā apnī hastī se bhī be-ḳhabar
na ma.alūm kyā yaad aayā mujhe
ḳhudā jaane thā ḳhvāb meñ kyā samāñ
are dard-e-dil kyuuñ jagāyā mujhe
sitam karte mil kar to phir lutf thā
judā.ī meñ kyā āzmāyā mujhe
ḳhudā.ī se terī nahīñ kuchh ġharz
milā us sanam se ḳhudāyā mujhe
na dekhā kuchh un meñ juz andāz-e-jaur
magar vo bhī kyā thā jo bhāyā mujhe
jafā se vafā se ki az rāh-e-nāz
ġharaz jis tarah ho lubhāyā mujhe
vafā kā gila kyā karūñ 'benazīr'
ye kyā kam hai jo bas satāyā mujhe
tere gham ne ye din dikhaya mujhe
ki mujh se hi aaKHir chhuDaya mujhe
hua apni hasti se bhi be-KHabar
na malum kya yaad aaya mujhe
KHuda jaane tha KHwab mein kya saman
are dard-e-dil kyun jagaya mujhe
sitam karte mil kar to phir lutf tha
judai mein kya aazmaya mujhe
KHudai se teri nahin kuchh gharz
mila us sanam se KHudaya mujhe
na dekha kuchh un mein juz andaz-e-jaur
magar wo bhi kya tha jo bhaya mujhe
jafa se wafa se ki az rah-e-naz
gharaz jis tarah ho lubhaya mujhe
wafa ka gila kya karun 'benazir'
ye kya kam hai jo bas sataya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.