kudurat koi dur aahon se hogi
kudūrat koī duur aahoñ se hogī
safā.ī na kuchh un gavāhoñ se hogī
marī un kī dar-parda rāhoñ se hogī
ishāroñ se hogī nigāhoñ se hogī
tajallī-e-rahmat gunāhoñ se hogī
ye raunaq hamīñ rūsiyāhoñ se hogī
qayāmat kisī kī nigāhoñ se hogī
ḳhudā.ī bharī dād-ḳhvāhoñ se hogī
ye dair-o-haram kufr-o-islām kab tak
ye manzil na tai in dorāhoñ se hogī
chamak meñ jo bijlī kī ye shoḳhiyāñ haiñ
lagāvaT kisī kī nigāhoñ se hogī
tirī baat bhī ḳhair sun leñge vaa.iz
koī dam jo fursat gunāhoñ se hogī
vo rindī taqaddus ho qurbān jis par
bhalā un mashīḳhat-panāhoñ se hogī
kahāñ DhūñDhtā hai tū rahmat ko zāhid
vo dast-o-garebāñ gunāhoñ se hogī
burī rasm hai shāhid-o-mai kī lekin
ye jaarī unhīñ ḳhānqāhoñ se hogī
vo roz-e-jazā qābil-e-dīd hogā
jahāñ un se kuchh dād-ḳhvāhoñ se hogī
bagūle bhī zīnat haiñ dasht-e-junūñ kī
mirī qadr un hī bārgāhoñ se hogī
vahāñ kaun pūchhegā rindoñ ko zāhid
jahāñ be-gunāhī gunāhoñ se hogī
mire ghar na aa.eñ na mujh ko balā.eñ
mulāqāt ab aur rāhoñ se hogī
samajhte hoñ jo arsh farsh-e-zamīñ ko
faqīrī unhīñ bādshāhoñ se hogī
sazā-e-mohabbat dilā.eñgī āñkheñ
ye rusvā.ī in do gavāhoñ se hogī
karo qatl be-jā magar yaad rakkho
nadāmat bahut be-gunāhoñ se hogī
nazāre kā mahshar meñ kyā lutf ham ko
jagah bhī vahāñ dād-ḳhvāhoñ se hogī
gumān-e-duā 'beأnazīr'-e-hazīñ par
na aisī ḳhatā ḳhair-ḳhvāhoñ se hogī
kudurat koi dur aahon se hogi
safai na kuchh un gawahon se hogi
mari un ki dar-parda rahon se hogi
ishaaron se hogi nigahon se hogi
tajalli-e-rahmat gunahon se hogi
ye raunaq hamin rusiyahon se hogi
qayamat kisi ki nigahon se hogi
KHudai bhari dad-KHwahon se hogi
ye dair-o-haram kufr-o-islam kab tak
ye manzil na tai in dorahon se hogi
chamak mein jo bijli ki ye shoKHiyan hain
lagawaT kisi ki nigahon se hogi
teri baat bhi KHair sun lenge waiz
koi dam jo fursat gunahon se hogi
wo rindi taqaddus ho qurban jis par
bhala un mashiKHat-panahon se hogi
kahan DhunDhta hai tu rahmat ko zahid
wo dast-o-gareban gunahon se hogi
buri rasm hai shahid-o-mai ki lekin
ye jari unhin KHanqahon se hogi
wo roz-e-jaza qabil-e-did hoga
jahan un se kuchh dad-KHwahon se hogi
bagule bhi zinat hain dasht-e-junun ki
meri qadr un hi bargahon se hogi
wahan kaun puchhega rindon ko zahid
jahan be-gunahi gunahon se hogi
mere ghar na aaen na mujh ko balaen
mulaqat ab aur rahon se hogi
samajhte hon jo arsh farsh-e-zamin ko
faqiri unhin baadshahon se hogi
saza-e-mohabbat dilaengi aankhen
ye ruswai in do gawahon se hogi
karo qatl be-ja magar yaad rakkho
nadamat bahut be-gunahon se hogi
nazare ka mahshar mein kya lutf hum ko
jagah bhi wahan dad-KHwahon se hogi
guman-e-dua 'beأnazir'-e-hazin par
na aisi KHata KHair-KHwahon se hogi
- Book : Kalam-e-Benaziir (Pg. 193)
- Author : Bnazir Shar Warsi
- Publication : Matba Haidariya, Hyderabad (1958)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.