zor-e-paikan se uDa kar le gaya naKHchir ko
zor-e-paikāñ se uḌā kar le gayā naḳhchīr ko
ab maiñ apne dil ko DhūñDūñ yā tumhāre tiir ko
kar liyā us ne sharīk-e-jor charḳh-e-pīr ko
ab hameñ bhī zor kuchh denā paḌā tadbīr ko
ḳhūn-e-nāhaq rafta rafta kaam apnā kar gayā
morcha ban ban ke āḳhir khā gayā shamshīr ko
josh-e-ḳhajlat se raho tum hazrat-e-dil aab aab
aag de duuñ maiñ to aisī āh-e-be-tāsīr ko
ḳhizr himmat kā hai jūyāñ dasht-e-ġham meñ kaun dil
DhūñDhtā hai ye murīd-e-ishq kis ko piir ko
ye ḳhadañg-e-dil-nashīñ mujh se tū khiñch saktā nahīñ
haañ agar tum se khiñche to khiñch lo is tiir ko
maiñ ḳhushāmad se nahīñ kahtā tumheñ yusuf-jamāl
ḳhud milā kar dekh lo tasvīr se tasvīr ko
donoñ da.avā haiñ barābar ke barābar ho talāsh
tum hamāre dil ko DhūñDho ham tumhāre tiir ko
ai falak ye kaj-ravī har-vaqt kī achchhī nahīñ
varna tū ḳhud jāntā hai nāla-e-shab-gīr ko
ḳhārzār-e-ishq meñ yūñhīñ qadam uThte na the
zo.af ne kuchh aur bhārī kar diyā zanjīr ko
iztirār-e-dil se ab tak aah niklī hī na thī
rokne vaalā koī ab rok le tāsīr ko
rāt-bhar phirtā thā kan.āñ meñ zuleḳhā kā ḳhayāl
misr ko yūsuf chale us ḳhvāb kī ta.abīr ko
qabr par dāman-kashāñ hī aao aao to sahī
phir jhaTak denā hamārī ḳhāk-e-dāman-gīr ko
to shab-e-ġham past kar detī hai saare hausle
sub.h se tā-shām uThātā huuñ maiñ is ta.amīr ko
ba.ad mere ek bhī majnūñ nazar aatā nahīñ
kis ke sar mārūñ maiñ apne paañv kī zanjīr ko
vaa.e qismat sham.a pūchhe bhī na parvānoñ kī baat
aur be-minnat mileñ bose lab-e-gul-gīr ko
koī letā hī na thā TuuTā huā dil 'benazīr'
laa.e rone ko hamīñ phūTī huī taqdīr ko
zor-e-paikan se uDa kar le gaya naKHchir ko
ab main apne dil ko DhunDun ya tumhaare tir ko
kar liya us ne sharik-e-jor charKH-e-pir ko
ab hamein bhi zor kuchh dena paDa tadbir ko
KHun-e-nahaq rafta rafta kaam apna kar gaya
morcha ban ban ke aaKHir kha gaya shamshir ko
josh-e-KHajlat se raho tum hazrat-e-dil aab aab
aag de dun main to aisi aah-e-be-tasir ko
KHizr himmat ka hai juyan dasht-e-gham mein kaun dil
DhunDhta hai ye murid-e-ishq kis ko pir ko
ye KHadang-e-dil-nashin mujh se tu khinch sakta nahin
han agar tum se khinche to khinch lo is tir ko
main KHushamad se nahin kahta tumhein yusuf-jamal
KHud mila kar dekh lo taswir se taswir ko
donon dawa hain barabar ke barabar ho talash
tum hamare dil ko DhunDho hum tumhaare tir ko
ai falak ye kaj-rawi har-waqt ki achchhi nahin
warna tu KHud jaanta hai nala-e-shab-gir ko
KHarzar-e-ishq mein yunhin qadam uThte na the
zoaf ne kuchh aur bhaari kar diya zanjir ko
iztirar-e-dil se ab tak aah nikli hi na thi
rokne wala koi ab rok le tasir ko
raat-bhar phirta tha kanāñ mein zuleKHa ka KHayal
misr ko yusuf chale us KHwab ki tabir ko
qabr par daman-kashan hi aao aao to sahi
phir jhaTak dena hamari KHak-e-daman-gir ko
to shab-e-gham past kar deti hai sare hausle
subh se ta-sham uThata hun main is tamir ko
baad mere ek bhi majnun nazar aata nahin
kis ke sar marun main apne panw ki zanjir ko
wae qismat shama puchhe bhi na parwanon ki baat
aur be-minnat milen bose lab-e-gul-gir ko
koi leta hi na tha TuTa hua dil 'benazir'
lae rone ko hamin phuTi hui taqdir ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.