ye lazzat aur qisson mein kahan hai
ye lazzat aur qissoñ meñ kahāñ hai
hamārī dāstāñ ik dāstāñ hai
tamāsha to yahī hai vo ḳhud-ārā
ayaañ ho kar bhī nazroñ se nihāñ hai
kisī par jaan degā kab tak ai dil
are kam-baḳht jī hai to jahāñ hai
muqaddar se hai buad va qurb-e-lailā
koī majnūñ hai koī sārbāñ hai
shab-e-ġham dekhtā huuñ uTh ke har baar
vahī hai yā koī aur āsmāñ hai
nahīñ chaltī koī tadbīr ġham meñ
yahī kyā kam hai jo aañsū ravāñ hai
pahuñch jaatī hai kisī ke gosh-e-dil tak
hamārī aarzū itnī kahāñ hai
ye lazzat aur qisson mein kahan hai
hamari dastan ek dastan hai
tamasha to yahī hai wo KHud-ara
ayan ho kar bhi nazron se nihan hai
kisi par jaan dega kab tak ai dil
are kam-baKHt ji hai to jahan hai
muqaddar se hai buad wa qurb-e-laila
koi majnun hai koi sarban hai
shab-e-gham dekhta hun uTh ke har bar
wahi hai ya koi aur aasman hai
nahin chalti koi tadbir gham mein
yahī kya kam hai jo aansu rawan hai
pahunch jati hai kisi ke gosh-e-dil tak
hamari aarzu itni kahan hai
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 54)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.