Sufinama

KHudaya teri ta KHudai rahe

Benazir Shah Warsi

KHudaya teri ta KHudai rahe

Benazir Shah Warsi

MORE BYBenazir Shah Warsi

    ḳhudāyā tirī ḳhudā.ī rahe

    do-ālam meñ us dahā.ī rahe

    tirā nuur jab tak rahe jalva-gar

    yahī us jalva-numā.ī rahe

    jab tak shanāsā rahe zaat

    ye āgāh-e-ḳhud-āshnā.ī rahe

    rahe terī qudrat jab tak amal

    yahī us farmāñ-rāvā.ī rahe

    rahe barī tā-qayūdāt se

    ise band-e-ġham se rihā.ī rahe

    terā nāḳhun-e-hukm jab tak ho tez

    yahī us uqda-kushā.ī rahe

    tirā dast-e-himmat rahe tā-buland

    ye chāragar-e-be-navā.ī rahe

    tirā jalva jab tak na mahdūd ho

    yahī us ke dil samā.ī rahe

    rahe vasl jab tak baqā se tujhe

    na us hamārī judā.ī rahe

    rahe tujhe husn par apne naaz

    nisār us pe saarī ḳhudā.ī rahe

    sabhī jaa.e par ḳhāliq-e-'be-nazīr'

    tabī.at mirī us pe aa.ī rahe

    KHudaya teri ta KHudai rahe

    do-alam mein us ki dahai rahe

    tera nur jab tak rahe jalwa-gar

    yahī us ki jalwa-numai rahe

    tu jab tak shanasa rahe zat ka

    ye aagah-e-KHud-ashnai rahe

    rahe teri qudrat ka jab tak amal

    yahī us ki farman-rawai rahe

    rahe tu bari ta-qayudat se

    ise band-e-gham se rihai rahe

    tera naKHun-e-hukm jab tak ho tez

    yahī us ki uqda-kushai rahe

    tera dast-e-himmat rahe ta-buland

    ye chaaragar-e-be-nawai rahe

    tera jalwa jab tak na mahdud ho

    yahī us ke dil ki samai rahe

    rahe wasl jab tak baqa se tujhe

    na us ki hamari judai rahe

    rahe na tujhe husn par apne naz

    nisar us pe sari KHudai rahe

    sabhi jae par KHaliq-e-'be-nazir'

    tabiat meri us pe aai rahe

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now