gham-e-dil mein itna asar bhi nahin
ġham-e-dil meñ itnā asar bhī nahīñ
maiñ bismil huuñ un ko ḳhabar hī nahīñ
mujhe khaa.e jaatā hai ye kis kā ġham
abhī dil na thā ab jigar bhī nahīñ
kahāñ tak sunoge mirī dāstāñ
nahīñ tuul to muḳhtasar bhī nahīñ
huī un ke aane se yaas is qadar
ki ab jānib-e-dar nazar bhī nahīñ
jo kuchh din rahā josh-e-saudā yahī
to phir dekh lenā ki sar bhī nahīñ
banāyā mujhe ġham ne tasvīr-e-yās
unheñ rahm is haal par bhī nahīñ
zamāne meñ ma.ashūq ai 'benazīr'
satāte haiñ par is qadar bhī nahīñ
gham-e-dil mein itna asar bhi nahin
main bismil hun un ko KHabar hi nahin
mujhe khae jata hai ye kis ka gham
abhi dil na tha ab jigar bhi nahin
kahan tak sunoge meri dastan
nahin tul to muKHtasar bhi nahin
hui un ke aane se yas is qadar
ki ab jaanib-e-dar nazar bhi nahin
jo kuchh din raha josh-e-sauda yahī
to phir dekh lena ki sar bhi nahin
banaya mujhe gham ne taswir-e-yas
unhen rahm is haal par bhi nahin
zamane mein mashuq ai 'benazir'
satate hain par is qadar bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.