mohabbat ka jazb-o-asar dekhiye
mohabbat kā jazb-o-asar dekhiye
vo ḳhud lene aa.e ḳhabar dekhiye
kabhī jin ko likhte the ham shauq se
vahī aaj haiñ nāma-bar dekhiye
kisī kā vo muñh pher kar baiThnā
kisī kā vo kahnā idhar dekhiye
kajī merī qismat kī phir dekhnā
zarī apnī tirchhī nazar dekhiye
isī par hai nāz-e-nigāh-e-karam
meñ taḌpūñ idhar aap udhar dekhiye
ye āñkheñ bahut din se thiiñ farsh-e-rāh
vo aa.e haiñ ab raah par dekhiye
koī ishaq kahtā thā koī junūñ
batātā hai kyā chāra-gar dekhiye
vo āḳhir mile baat kī baat meñ
vo tuul aur ye muḳhtasar dekhiye
bahut ḳhūbsūrat haiñ yūsuf magar
zarā aap ko dekh kar dekhiye
is ā.īna-ḳhāna meñ hairat hai ye
kise dekhiye aur kidhar dekhiye
nahīñ kholte aañkh kyuuñ 'benazīr'
vo aatā hai koī udhar dekhiye
mohabbat ka jazb-o-asar dekhiye
wo KHud lene aae KHabar dekhiye
kabhi jin ko likhte the hum shauq se
wahi aaj hain nama-bar dekhiye
kisi ka wo munh pher kar baiThna
kisi ka wo kahna idhar dekhiye
kaji meri qismat ki phir dekhna
zari apni tirchhi nazar dekhiye
isi par hai naz-e-nigah-e-karam
mein taDpun idhar aap udhar dekhiye
ye aankhen bahut din se thin farsh-e-rah
wo aae hain ab rah par dekhiye
koi ishaq kahta tha koi junun
batata hai kya chaara-gar dekhiye
wo aaKHir mile baat ki baat mein
wo tul aur ye muKHtasar dekhiye
bahut KHubsurat hain yusuf magar
zara aap ko dekh kar dekhiye
is aaina-KHana mein hairat hai ye
kise dekhiye aur kidhar dekhiye
nahin kholte aankh kyun 'benazir'
wo aata hai koi udhar dekhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.