Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ye kya hai hamin KHair shar bhi hamin

Benazir Shah Warsi

ye kya hai hamin KHair shar bhi hamin

Benazir Shah Warsi

MORE BYBenazir Shah Warsi

    ye kyā hai hamīñ ḳhair shar bhī hamīñ

    har ik shai ke naf-o-zarar bhī hamīñ

    hamīñ koh-o-vādī hamīñ jū-e-āb

    hamīñ naḳhl-o-sabza hajar bhī hamīñ

    hamīñ haiñ mo.arriḳh hamīñ dāstāñ

    hamīñ muḳhbir-e-haq ḳhabar bhī hamīñ

    hamīñ dair-o-ka.aba ḳhudā-o-sanam

    hamīñ sāhab-ḳhāna ghar bhī hamīñ

    hamīñ lā-makāñ meñ hamīñ har jagah

    udhar bhī hamīñ haiñ idhar bhī hamīñ

    hamīñ daftar-e-kul hamīñ lafz-e-kun

    hamīñ tuul bhī muḳhtasar bhī hamīñ

    hamīñ ḳhud mubassir hamīñ ḳhud-nigāh

    tamāshā-e-ahl-e-nazar bhī hamīñ

    hamīñ niist haiñ ḳhud hamīñ hast haiñ

    qazā bhī hamīñ haiñ qadar bhī hamīñ

    hamīñ nafs-e-jānāñ hamīñ 'benazīr'

    hamīñ zāt-e-bārī bashar hamīñ

    ye kya hai hamin KHair shar bhi hamin

    har ek shai ke naf-o-zarar bhi hamin

    hamin koh-o-wadi hamin ju-e-ab

    hamin naKHl-o-sabza hajar bhi hamin

    hamin hain moarriKH hamin dastan

    hamin muKHbir-e-haq KHabar bhi hamin

    hamin dair-o-kaba KHuda-o-sanam

    hamin sahab-KHana ghar bhi hamin

    hamin la-makan mein hamin har jagah

    udhar bhi hamin hain idhar bhi hamin

    hamin daftar-e-kul hamin lafz-e-kun

    hamin tul bhi muKHtasar bhi hamin

    hamin KHud mubassir hamin KHud-nigah

    tamasha-e-ahl-e-nazar bhi hamin

    hamin nist hain KHud hamin hast hain

    qaza bhi hamin hain qadar bhi hamin

    hamin nafs-e-jaanan hamin 'benazir'

    hamin zat-e-bari bashar hi hamin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now