bhale-bure par kisi ke tujhe nazar bhi hai
bhale-bure par kisi ke tujhe nazar bhi hai
Khwaja Ruknuddin Ishq
MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq
bhale-bure par kisī ke tujhe nazar bhī hai
huā na ḳhauf-e-jahāñ kuchh ḳhudā kā Dar bhī hai
jafā-o-jaur kahāñ tak ḳhudā se Dar zālim
sivā-e-dil-shiknī aur kuchh hunar bhī hai
sitam-zarīf na ho is qadar ġharīboñ se
har ek chiiz kā āḳhir ko kuchh samar bhī hai
hamesha kūche meñ din-rāt shor karatā hai
koī to pūchho ki ḳhāna-ḳharāb ghar bhī hai
nahīñ haiñ lā’l-o-guhar paas mere go lekin
jigar ke TukḌe haiñ aur yār-e-chashm-e-tar bhī hai
dil-e-ġharīb kā ahvāl pūchhte ho kyā
chaḌhī hai 'ishq' kī tap aur dard-e-sar bhī hai
bhale-bure par kisi ke tujhe nazar bhi hai
hua na KHauf-e-jahan kuchh KHuda ka Dar bhi hai
jafa-o-jaur kahan tak KHuda se Dar zalim
siwa-e-dil-shikni aur kuchh hunar bhi hai
sitam-zarif na ho is qadar gharibon se
har ek chiz ka aaKHir ko kuchh samar bhi hai
hamesha kuche mein din-raat shor karata hai
koi to puchho ki KHana-KHarab ghar bhi hai
nahin hain la’l-o-guhar pas mere go lekin
jigar ke TukDe hain aur yar-e-chashm-e-tar bhi hai
dil-e-gharib ka ahwal puchhte ho kya
chaDhi hai 'ishq' ki tap aur dard-e-sar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.