bhaTTi ko chala kya hote sahar puchho to koi sajjad sati
bhaTTi ko chala kya hote sahar puchho to koi sajjad sati
Ghulam Naqshband Sajjad
MORE BYGhulam Naqshband Sajjad
bhaTTī ko chalā kyā hote sahar pūchho to koī 'sajjād' satī
thā raat talak to kaam us ko ashġhāl satī aurād satī
Tak merī taraf se bād-e-sabā jā kar kah sayyād satī
ab jaan laboñ par bulbul ke pahuñchī hai tirī bedād satī
tanhā.ī-e-furqat meñ kyā kiyā apnā na ye dil ghabrāve hai
pahle hai jo Tuk ye nāshudanī to sarf tumhārī yaad satī
jab aag dhadaktī ho us par mat chīTiyo tel ḳhudā rā tum
kyā dil kī ḳhushī ko pūchho ho ai yaaro ik nāshād satī
ai bād-e-sahar ai mauj-e-sabā le jald hamārī aa ke ḳhabar
niklā hai hamārā kaam sadā terī hī faqat imdād satī
man paayā hai us ne dil merā ka.aba hai ghar allāh kā hai
ab khod ke us ko phikvā de vo but na kahīñ buniyād satī
jo dekh ke ham ko haath male pachhtāve aur afsos kare
batlā do koī kareñ shikva kyā aise sitam-ījād satī
Thānā to bahut ab jā deñge hargiz na kaso ke kūche meñ
har baar magar majbūr rahe ham apne dil-nāshād satī
toḌā hai vo kab kā taqvā ko bhaTTī meñ to us ke guzre hai
sajjāda-o-masjid kī bābat mat pūchho kuchh 'sajjād' satī
bhaTTi ko chala kya hote sahar puchho to koi 'sajjad' sati
tha raat talak to kaam us ko ashghaal sati aurad sati
Tak meri taraf se baad-e-saba ja kar kah sayyaad sati
ab jaan labon par bulbul ke pahunchi hai teri bedad sati
tanhai-e-furqat mein kya kiya apna na ye dil ghabrawe hai
pahle hai jo Tuk ye nashudani to sarf tumhaari yaad sati
jab aag dhadakti ho us par mat chiTiyo tel KHuda ra tum
kya dil ki KHushi ko puchho ho ai yaro ek nashad sati
ai baad-e-sahar ai mauj-e-saba le jald hamari aa ke KHabar
nikla hai hamara kaam sada teri hi faqat imdad sati
man paya hai us ne dil mera kaba hai ghar allah ka hai
ab khod ke us ko phikwa de wo but na kahin buniyaad sati
jo dekh ke hum ko hath male pachhtawe aur afsos kare
batla do koi karen shikwa kya aise sitam-ijad sati
Thana to bahut ab ja denge hargiz na kaso ke kuche mein
har bar magar majbur rahe hum apne dil-nashad sati
toDa hai wo kab ka taqwa ko bhaTTi mein to us ke guzre hai
sajjada-o-masjid ki babat mat puchho kuchh 'sajjad' sati
- Book : Bihar Men Urdu Ki Sufiyana Shairi (Pg. 123)
- Author : Mohammad Tayyab Abdali
- Publication : Israr Karimi Press, Allahabad (1988)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.