bimar-e-gham azal se hum aaghosh ho gaya
bīmār-e-ġham azal se ham āġhosh ho gayā
ik āh-e-sard khīñch ke ḳhāmosh ho gayā
piirī meñ dil se miT gayā dāġh-e-ġham firāq
shab kā charāġh sub.h ko ḳhāmosh ho gayā
ġhurbat meñ itne din mujhe rahte guzar ga.e
ahl-e-vatan ke dil se farāmosh ho gayā
jab naza.a meñ kisī se na paayā koī javāb
meñ umr bhar ke vāste ḳhāmosh ho gayā
is bazm-e-nāz meñ na sunā jab kisī ne haal
maiñ sab ke muñh ko dekh ke ḳhāmosh ho gayā
hai mujh ko ba.ad marne ke phir ārzū-e-marg
ye kaun mere ġham meñ siyah-posh ho gayā
kyā baat hai jo bhuul rahā huuñ maiñ aap ko
shāyad ki tere dil se farāmosh ho gayā
mohar-e-sukūt thā tirī rusvā.iyoñ kā ḳhauf
dil thā magar maiñ hashr meñ ḳhāmosh ho gayā
phir us ke ba.ad koī ḳhabar bhī nahīñ rahī
parda uThā hī thā ki maiñ behosh ho gayā
zālim tirī nigāh meñ jaadū kā hai asar
shikvā har ek dil se farāmosh ho gayā
anjām kī ḳhabar nahii. kuchh bhī mujhe 'amīn'
maiñ ibtidā-e-ishq meñ behosh ho gayā
bimar-e-gham azal se hum aaghosh ho gaya
ek aah-e-sard khinch ke KHamosh ho gaya
piri mein dil se miT gaya dagh-e-gham firaq
shab ka charagh subh ko KHamosh ho gaya
ghurbat mein itne din mujhe rahte guzar gae
ahl-e-watan ke dil se faramosh ho gaya
jab naza mein kisi se na paya koi jawab
mein umr bhar ke waste KHamosh ho gaya
is bazm-e-naz mein na suna jab kisi ne haal
main sab ke munh ko dekh ke KHamosh ho gaya
hai mujh ko baad marne ke phir aarzu-e-marg
ye kaun mere gham mein siyah-posh ho gaya
kya baat hai jo bhul raha hun main aap ko
shayad ki tere dil se faramosh ho gaya
mohar-e-sukut tha teri ruswaiyon ka KHauf
dil tha magar main hashr mein KHamosh ho gaya
phir us ke baad koi KHabar bhi nahin rahi
parda uTha hi tha ki main behosh ho gaya
zalim teri nigah mein jadu ka hai asar
shikwa har ek dil se faramosh ho gaya
anjam ki KHabar nahi kuchh bhi mujhe 'amin'
main ibtida-e-ishq mein behosh ho gaya
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.IX (Pg. 64)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.