rangin shafaq jab hua ju-e-bar ka
rangin shafaq jab hua ju-e-bar ka
Bishan Nrain Lal Mahtur Rangin
MORE BYBishan Nrain Lal Mahtur Rangin
rañgīñ shafaq jab huā jū-e-bār kā
dāman laTak rahā hai urūs-e-bahār kā
shahrā hai aamad aamad fasl-e-bahār kā
har naḳhl muntazir hai na.e barg-o-bār kā
aa.ī bahār chaar taraf aag sī lagī
har lāla-zār ā.īna hai sho.ala-zār kā
hai dām-e-sad ummīd meñ bulbul kā dil asiir
aayā hai gulistāñ meñ zamāna bahār kā
mahfil meñ faiz saaqī aadil kā aam hai
paimāna be-sharāb hai kis bāda-ḳhvār kā
saare jahāñ meñ aap jo mash.hūr aaj haiñ
ehsāñ kahīñ na ho ye usī ḳhāksār kā
duniyā-e-rañg-o-bū meñ basar zindagī hu.vī
meñ āshnā huuñ raaz ḳhizāñ-o-bahār kā
shāḳh-e-murād jis kī na phūle phalai kabhī
vo naḳhl-e-ġham huuñ maiñ chaman-e-rozgār kā
kāñTe jo pāsbāñ haiñ to gul mutma.in nahīñ
gulchīñ ke dil meñ ḳhauf nahīñ nok-e-ḳhār kā
is gul ko fikr kyā mire hāl-e-ḳharāb kī
din raat jo hai mast ḳhud apnī bahār kā
ai nāznīñ jo aaTh pahar mast-e-nāz hai
kuchh hāl-e-ġham bhī sun dil-e-hasrat shi.ār kā
din ko sukūñ nasīb na shab ko nasīb chain
rañgīn na pūchh haal dil-e-sogvār kā
rangin shafaq jab hua ju-e-bar ka
daman laTak raha hai urus-e-bahaar ka
shahra hai aamad aamad fasl-e-bahaar ka
har naKHl muntazir hai nae barg-o-bar ka
aai bahaar chaar taraf aag si lagi
har lala-zar aaina hai shoala-zar ka
hai dam-e-sad ummid mein bulbul ka dil asir
aaya hai gulistan mein zamana bahaar ka
mahfil mein faiz saqi aadil ka aam hai
paimana be-sharab hai kis baada-KHwar ka
sare jahan mein aap jo mashhur aaj hain
ehsan kahin na ho ye usi KHaksar ka
duniya-e-rang-o-bu mein basar zindagi huwi
mein aashna hun raaz KHizan-o-bahaar ka
shaKH-e-murad jis ki na phule phalai kabhi
wo naKHl-e-gham hun main chaman-e-rozgar ka
kanTe jo pasban hain to gul mutmain nahin
gulchin ke dil mein KHauf nahin nok-e-KHar ka
is gul ko fikr kya mere haal-e-KHarab ki
din raat jo hai mast KHud apni bahaar ka
ai naznin jo aaTh pahar mast-e-naz hai
kuchh haal-e-gham bhi sun dil-e-hasrat shiar ka
din ko sukun nasib na shab ko nasib chain
rangin na puchh haal dil-e-sogwar ka
- Book : Dabistan-E-Azimabad (Pg. 68)
- Publication : Nikhar Press, Mau Nath Bhanjan (1982)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.