bosa-e-ruKH ka jo main sail hua
bosa-e-ruḳh kā jo maiñ saa.il huā
hañs ke bole tū bhī is qābil huā
shahr chhūTā ḳhāna-vīrānī huī
āshiqī meñ ye hameñ hāsil huā
nāvik-e-mizgāñ-e-jānāñ dekh kar
chhan gayā siina jigar ghāyal huā
jis kī gunjā.ish na ho kaunain meñ
us ke rahne kā makāñ ye dil huā
ban ke aadam apne nazzāra ko ḳhud
jalva-farmā vo mah-e-kāmil huā
jis ke haamī hazrat-e-'vāris' hue
hal usī kā uqda-e-mushkil huā
sun ke 'aughat' kī fuġhāñ bolā vo but
us pe kyā qahr-e-ḳhudā nāzil huā
bosa-e-ruKH ka jo main sail hua
hans ke bole tu bhi is qabil hua
shahr chhuTa KHana-virani hui
aashiqi mein ye hamein hasil hua
nawik-e-mizgan-e-jaanan dekh kar
chhan gaya sina jigar ghayal hua
jis ki gunjaish na ho kaunain mein
us ke rahne ka makan ye dil hua
ban ke aadam apne nazzara ko KHud
jalwa-farma wo mah-e-kaamil hua
jis ke hami hazrat-e-'waris' hue
hal usi ka uqda-e-mushkil hua
sun ke 'aughat' ki fughan bola wo but
us pe kya qahr-e-KHuda nazil hua
- Book : Faizan-e-Warsi Al-Maruf Zamzama-e-Qawwali (Pg. 11)
- Author : Aughat Shah Warsi
- Publication : Jayyad Barqi Press, Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.