bulbul na kyun banunga main bustan-e-pir ka
bulbul na kyuuñ banūñgā maiñ bustān-e-pīr kā
dil merā ek phuul hai dukkān-e-pīr kā
sair-e-bahisht se mujhe rizvāñ nahīñ hai kaam
naqsha merī nazar meñ hai aivān-e-pīr kā
rozī kā us ke rahtā hai ravāq ko ḳhayāl
dekhe to koī martaba mehmān-e-pīr kā
tū kyā Darā.egā mujhe ai āftāb-e-hashr
saaya rahegā sar pe jo dāmān-e-pīr kā
hotā nahīñ hai sar se mere ye kabhī judā
ehsān māntā huuñ maiñ ehsān-e-pīr kā
vo ḳhuub jāntā hai ki maiñ bhī ġhulām huuñ
sachchā ḳhayāl hai mere darbān-e-pīr kā
sab muntahī samajhte haiñ mujh ko 'amīn-e-dīn'
vāris maiñ mubtadī huuñ dabistān-e-pīr kā
bulbul na kyun banunga main bustan-e-pir ka
dil mera ek phul hai dukkan-e-pir ka
sair-e-bahisht se mujhe rizwan nahin hai kaam
naqsha meri nazar mein hai aiwan-e-pir ka
rozi ka us ke rahta hai rawaq ko KHayal
dekhe to koi martaba mehman-e-pir ka
tu kya Daraega mujhe ai aaftab-e-hashr
saya rahega sar pe jo daman-e-pir ka
hota nahin hai sar se mere ye kabhi juda
ehsan manta hun main ehsan-e-pir ka
wo KHub jaanta hai ki main bhi ghulam hun
sachcha KHayal hai mere darban-e-pir ka
sab muntahi samajhte hain mujh ko 'amin-e-din'
waris main mubtadi hun dabistan-e-pir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.