bulbulon par kar de ai sayyaad ehsan chhoD de
bulbulon par kar de ai sayyaad ehsan chhoD de
Shah Turab Ali Qalandar
MORE BYShah Turab Ali Qalandar
bulbuloñ par kar de ai sayyād ehsāñ chhoḌ de
fasl-e-gul aa.ī hai zālim chhoḌ de haañ chhoḌ de
ik taraf phūle haiñ laale ik taraf haiñ gul khile
dekh le bulbul tamāshā-e-gulistāñ chhoḌ de
shāna itnī chīra-dastī zulf-e-jānāñ se na kar
mat pakaḌ dāñtoñ se iske mū-e-pechāñ chhoḌ de
lailā ḳhalvat meñ kahe thī hañs ke majnūñ se yahī
baiTh rah dar par mire jañgal bayābāñ chhoḌ de
shust-o-shū zāhir badan kī kyā bahut kartā hai shaiḳh
saaf rakh dil ko zarā vasvas-e-shaitāñ chhoḌ de
zindagī se tañg ho marne kī ḳhvāhish ho jise
kah do us bīmār se dārū-o-darmāñ chhoḌ de
bhar ke dāman roz le jaatā hai vo chun chun ke phuul
kyuuñ pakaḌ ke bāġhbāñ gulchīñ kā dāmāñ chhoḌ de
us ko zāhid khaa.e jo lazzat na de kuchh nafs ko
ḳhushk roTī khaa.e zauq-e-murġh-o-biryāñ chhoḌ de
martī hai us par zulaiḳhā kah de yūsuf se 'turāb'
jā azīz-e-misr ho ye hāh-e-kan.āñ chhoḌ de
bulbulon par kar de ai sayyaad ehsan chhoD de
fasl-e-gul aai hai zalim chhoD de han chhoD de
ek taraf phule hain lale ek taraf hain gul khile
dekh le bulbul tamasha-e-gulistan chhoD de
shana itni chira-dasti zulf-e-jaanan se na kar
mat pakaD danton se iske mu-e-pechan chhoD de
laila KHalwat mein kahe thi hans ke majnun se yahi
baiTh rah dar par mere jangal bayaban chhoD de
shust-o-shu zahir badan ki kya bahut karta hai shaiKH
saf rakh dil ko zara waswas-e-shaitan chhoD de
zindagi se tang ho marne ki KHwahish ho jise
kah do us bimar se daru-o-darman chhoD de
bhar ke daman roz le jata hai wo chun chun ke phul
kyun pakaD ke baghban gulchin ka daman chhoD de
us ko zahid khae jo lazzat na de kuchh nafs ko
KHushk roTi khae zauq-e-murgh-o-biryan chhoD de
marti hai us par zulaiKHa kah de yusuf se 'turab'
ja aziz-e-misr ho ye hah-e-kanan chhoD de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.