butan-e-hashr taza rang bhar din dagh-e-isyan mein
butān-e-hashr taaza rañg bhar diiñ dāġh-e-isyāñ meñ
mazā de jaa.e merā dāġh-e-isyāñ mere dāmāñ meñ
bhare haiñ hashr zā fitne nigāh-e-fitna-e-sāmāñ meñ
jagah de kyā dil-e-hañgāma jo kū apne dāmāñ meñ
lagānā dik meñ aisā kaun sā surḳhāb kā parhtā
ki mere dil ke TukḌoñ ne jaḌe la.al un ke paikāñ meñ
mare lab tak ye aa.eñ hashr ke din jaam ban ban kar
jo dāġh-e-mai khile haiñ phuul ban kar mere dāmāñ meñ
tulī baiThī hai kaisī ashk-ālūda mizha merī
piro.e jā.eñge motī tirī zulf-e-pareshāñ meñ
jo ai dīvānoñ maiñ hotā to kyā hotā ḳhudā jaane
na hone se mare ab ḳhaak uḌtī hai bayābāñ meñ
garebāñ par mare kyuuñ hashr ke din haath Daalā thā
ulajh kar dast-e-nāzuk rah ga.e ab to garebāñ meñ
chaḌhā.e ḳhum ke ḳhum lekin na nashsha ho na ġhāfil ho
farishta hai vo ai zāhid jo ye bāteñ hoñ insāñ meñ
zarā meñ bhī vañh apnī shab-e-furqat ko le jā۔ūñ
hamesha din banā kartī haiñ rāteñ jis shabistāñ meñ
are saaqī na thā kuchh ham meñ jab tak shīsha ḳhālī thā
jo mai shīshe meñ aa.ī jaan aa.ī jism-e-be-jāñ meñ
mileñ to un ko dikhlā.ūñ masaknā un ke dāman kā
yahī kāfir jo raḳhne Dālte haiñ mere īmāñ meñ
hameñ to lutf aatā hai vo jhūTe hoñ ki sachche hoñ
ajab lazzat hai un kāfir butoñ ke ahd-o-paimāñ meñ
nazar aatī hai aksar ruuh mujh se par shikasta kī
kisī TuuTe qafas meñ yā kisī ujḌe gulistāñ meñ
hamāre dil ke dāġhoñ kī vañh sham.eñ huiiñ raushan
hamārī aañkh ke parde paḌe un ke shabistāñ meñ
rahā kartī hai sote jāgte us kī nazar mujh par
ye bedārī kahāñ se aa ga.ī chashm-e-nigahbāñ meñ
zarā sī vasl kī shab yā baḌī sī hijr kī shab ho
chhipī rahtī haiñ donoñ un hasīnoñ kī nahīñ haañ meñ
hamārī jaan chhūTe gī asīrī se na jiite jī
lahad kī tarh rakkhā hai jasad ke tañg-e-zindāñ meñ
'riyāz' iimā hai un kā ham-navā hoñ murġh-e-gulshan meñ
huī hai mun.aqid bazm-e-suḳhan sehn-e-gulistāñ meñ
butan-e-hashr taza rang bhar din dagh-e-isyan mein
maza de jae mera dagh-e-isyan mere daman mein
bhare hain hashr za fitne nigah-e-fitna-e-saman mein
jagah de kya dil-e-hangama jo ku apne daman mein
lagana dik mein aisa kaun sa surKHab ka parhta
ki mere dil ke TukDon ne jaDe lal un ke paikan mein
mare lab tak ye aaen hashr ke din jam ban ban kar
jo dagh-e-mai khile hain phul ban kar mere daman mein
tuli baiThi hai kaisi ashk-aluda mizha meri
piroe jaenge moti teri zulf-e-pareshan mein
jo ai diwanon main hota to kya hota KHuda jaane
na hone se mare ab KHak uDti hai bayaban mein
gareban par mare kyun hashr ke din hath Dala tha
ulajh kar dast-e-nazuk rah gae ab to gareban mein
chaDhae KHum ke KHum lekin na nashsha ho na ghafil ho
farishta hai wo ai zahid jo ye baaten hon insan mein
zara mein bhi wanh apni shab-e-furqat ko le ja۔un
hamesha din bana karti hain raaten jis shabistan mein
are saqi na tha kuchh hum mein jab tak shisha KHali tha
jo mai shishe mein aai jaan aai jism-e-be-jaan mein
milen to un ko dikhlaun masakna un ke daman ka
yahi kafir jo raKHne Dalte hain mere iman mein
hamein to lutf aata hai wo jhuTe hon ki sachche hon
ajab lazzat hai un kafir buton ke ahd-o-paiman mein
nazar aati hai aksar ruh mujh se par shikasta ki
kisi TuTe qafas mein ya kisi ujDe gulistan mein
hamare dil ke daghon ki wanh shamen huin raushan
hamari aankh ke parde paDe un ke shabistan mein
raha karti hai sote jagte us ki nazar mujh par
ye bedari kahan se aa gai chashm-e-nigahban mein
zara si wasl ki shab ya baDi si hijr ki shab ho
chhipi rahti hain donon un hasinon ki nahin han mein
hamari jaan chhuTe gi asiri se na jite ji
lahad ki tarh rakkha hai jasad ke tang-e-zindan mein
'riyaz' ima hai un ka ham-nawa hon murgh-e-gulshan mein
hui hai munaqid bazm-e-suKHan sehn-e-gulistan mein
- Book : Riyaaz-e-Rizwan (Pg. 340)
- Author : Riyaz Khairabadi
- Publication : Kitaab Manzil, Lahore (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.