bu-e-gul sabza-e-gulzar kahan se laun
bū-e-gul sabza-e-gulzār kahāñ se lā.ūñ
jām-e-mai abr-guhar-bār kahāñ se lā.ūñ
gul-ruḳh-o-baba-e-gulrañg mayassar lekin
vo javānī-e-sīya-kār kahāñ se lā.ūñ
haaye vo lazzat-e-ra.anā.ī-e-chashm-e-maḳhmūr
vo tirī masti-e-raftār kahāñ se lā.ūñ
takHta-e-lāl-o-gul kā sā hasīñ vo dāman
haaye vo dīda-e-kHūñbār kahāñ se lā.ūñ
ġharq rakhtī thiiñ jise nuur kī maujeñ ya.anī
vo dil-e-husn giraftār kahāñ se lā.ūñ
jaan betāb ko ho jaa.e sukūñ phir paidā
ab tujhe nargis-e-bīmār kahāñ se lā.ūñ
husn rañgīñ ke taḌapte nazar aa.e jalve
mastī-e-bāda-kHumār kahāñ se lā.ūñ
tire kūche meñ na thī fikr alā.eq dil ko
ab tujhe gesū-e-ḳhamdār kahāñ se lā.ūñ
zarra zarra meñ nihāñ raaz hai un kā lekin
dīda-e-vāqif-e-isrār kahāñ se lā.ūñ
us ne kuchh soch ke mahrūm-e-jafā rakhā hai
phir vahī lazzat-e-āzār kahāñ se lā.ūñ
ek muddat se hai ḳhāmosh rubāb-e-hastī
phir vahī naġhma-e-bedār kahāñ se lā.ūñ
hai mujhe kashmakash halqa-e-zulf-e-daurāñ
shikan-e-turra-e-tarrār kahāñ se lā.ūñ
jab na kuchh zauq-e-amal husn-e-talab ho dil meñ
lazzat-e-mastī-e-kirdār kahāñ se lā.ūñ
faiz vo asġhar marhūm kā rañgīñ andāz
us kī vo shaukHī-e-guftār kahāñ se lā.ūñ
bu-e-gul sabza-e-gulzar kahan se laun
jam-e-mai abr-guhar-bar kahan se laun
gul-ruKH-o-baba-e-gulrang mayassar lekin
wo jawani-e-siya-kar kahan se laun
haye wo lazzat-e-ranai-e-chashm-e-maKHmur
wo teri masti-e-raftar kahan se laun
takHta-e-lal-o-gul ka sa hasin wo daman
haye wo dida-e-kHunbar kahan se laun
gharq rakhti thin jise nur ki maujen yani
wo dil-e-husn giraftar kahan se laun
jaan betab ko ho jae sukun phir paida
ab tujhe nargis-e-bimar kahan se laun
husn rangin ke taDapte nazar aae jalwe
masti-e-baada-kHumar kahan se laun
tere kuche mein na thi fikr alaeq dil ko
ab tujhe gesu-e-KHamdar kahan se laun
zarra zarra mein nihan raaz hai un ka lekin
dida-e-waqif-e-israr kahan se laun
us ne kuchh soch ke mahrum-e-jafa rakha hai
phir wahi lazzat-e-azar kahan se laun
ek muddat se hai KHamosh rubab-e-hasti
phir wahi naghma-e-bedar kahan se laun
hai mujhe kashmakash halqa-e-zulf-e-dauran
shikan-e-turra-e-tarrar kahan se laun
jab na kuchh zauq-e-amal husn-e-talab ho dil mein
lazzat-e-masti-e-kirdar kahan se laun
faiz wo asghar marhum ka rangin andaz
us ki wo shaukHi-e-guftar kahan se laun
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.II (Pg. 259)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.