chadar se mauh ke na chhupe chehra aap ka
chadar se mauh ke na chhupe chehra aap ka
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
chādar se mauj ke na chhupe chehra aap kā
burqa habāb kā na ho burqa habāb kā
pahnā hai kuchh tasarruf-e-auhām hai ke ham
chehra pe haq ke paate haiñ parda naqāb kā
āñkheñ muñdī huī hoñ to phir din bhī raat hai
is meñ qusūr kyā hai bhalā āftāb kā
kis kaam ye hastī-e-mauhūm-e-kā.ināt
sahar ab kab kare tujhe dhoka sharāb kā
apnā hijāb aap hai tū ai 'miyāñ-niyāz'
uThne meñ tere hotā hai uThnā hijāb kā
chadar se mauj ke na chhupe chehra aap ka
burqa habab ka na ho burqa habab ka
pahna hai kuchh tasarruf-e-auham hai ke hum
chehra pe haq ke pate hain parda naqab ka
aankhen mundi hui hon to phir din bhi raat hai
is mein qusur kya hai bhala aaftab ka
kis kaam ye hasti-e-mauhum-e-kainat
sahar ab kab kare tujhe dhoka sharab ka
apna hijab aap hai tu ai 'miyan-niyaz'
uThne mein tere hota hai uThna hijab ka
- Book : Diwan-e-Niaz-e-Be-Niaz (Pg. 128)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.