chandni-raat mein khile chehre
chāñdnī-rāt meñ khile chehre
sub.h hote hī chhup ga.e chehre
maiñ nigāhoñ ko kis tarah badlūñ
aap ne to badal liye chehre
ġhaur se dekh ābgīnoñ ko
kal kahāñ hoñge aaj ke chehre
khā rahe haiñ daraḳht kā saaya
Tahniyoñ se lage hue chehre
us kā chehra kab us kā apnā thā
jis ke chehre par mar miTe chehre
zindagī meñ kabhī nahīñ milte
kāġhazoñ par saje hue chehre
aa ga.e khul ke sāmne 'vāsif'
āstīñ meñ chhupe hue chehre
chandni-raat mein khile chehre
subh hote hi chhup gae chehre
main nigahon ko kis tarah badlun
aap ne to badal liye chehre
ghaur se dekh aabginon ko
kal kahan honge aaj ke chehre
kha rahe hain daraKHt ka saya
Tahniyon se lage hue chehre
us ka chehra kab us ka apna tha
jis ke chehre par mar miTe chehre
zindagi mein kabhi nahin milte
kaghazon par saje hue chehre
aa gae khul ke samne 'wasif'
aastin mein chhupe hue chehre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.