chalī ab gul ke hāthoñ se luTā kar kārwāñ apnā
chalī ab gul ke hāthoñ se luTā kar kārwāñ apnā
Mirza Mazhar Jan-e-Janan
MORE BYMirza Mazhar Jan-e-Janan
chalī ab gul ke hāthoñ se luTā kar kārvāñ apnā
na chhoḌā haa.e bulbul ne chaman meñ kuchh nishāñ apnā
ye hasrat rah ga.ī kyā kyā maze se zindagī karte
agar hotā chaman apnā gul apnā bāġhbāñ apnā
alam se yaañ talak roiiñ ki āḳhir ho ga.iiñ rusvā
Dubāyā haa.e āñkhoñ ne mizha kā ḳhāndāñ apnā
raqībāñ kī na kuchh taqsīr sābit hai na ḳhūbāñ kī
mujhe nāhaq satātā hai ye ishq-e-bad-gumāñ apnā
mirā jī jaltā hai us bulbul-e-bekas kī ġhurbat par
ki jin ne aasre par gul ke chhoḌā āshiyāñ apnā
jo tū ne kī so dushman bhī nahīñ dushman se kartā hai
ġhalat thā jānte the tujh ko jo ham mehrbāñ apnā
koī āzurda kartā hai sajan apne ko he zālim
ki daulat-ḳhvāh apnā 'maz.har' apnā 'jān-e-jāñ' apnā
chalī ab gul ke hāthoñ se luTā kar kārwāñ apnā
na chhoḌā hae bulbul ne chaman meñ kuchh nishāñ apnā
ye hasrat rah gaī kyā kyā maze se zindagī karte
agar hotā chaman apnā gul apnā bāġhbāñ apnā
alam se yañ talak roiñ ki āḳhir ho gaiñ ruswā
Dubāyā hae āñkhoñ ne mizha kā ḳhāndāñ apnā
raqībāñ kī na kuchh taqsīr sābit hai na ḳhūbāñ kī
mujhe nāhaq satātā hai ye ishq-e-bad-gumāñ apnā
mirā jī jaltā hai us bulbul-e-bekas kī ġhurbat par
ki jin ne aasre par gul ke chhoḌā āshiyāñ apnā
jo tū ne kī so dushman bhī nahīñ dushman se kartā hai
ġhalat thā jānte the tujh ko jo hum mehrbāñ apnā
koī āzurda kartā hai sajan apne ko he zālim
ki daulat-ḳhwāh apnā 'mazhar' apnā 'jān-e-jāñ' apnā
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.