chale aate hain KHush KHush kis ke ghar se
chale aate haiñ ḳhush ḳhush kis ke ghar se
vo hañste khelte bād-e-sahar se
vahīñ aa baiThā uTh kar udhar se
milā hai ghar mirā dushman ke ghar se
maze kī chiiz hai ye majma.a-e-hashr
hasīñ kyā kyā guzarte haiñ nazar se
zarā chal kar tumhīñ us ko chuḌāo
kisī kī aaheñ uljhī haiñ asar se
hamāre paas dil sī chiiz rahtī
bachā.e rakhte haiñ un kī nazar se
kahāñ dil pā ga.e kyā pūchhte ho
uThā laa.e tumhārī rah-guzar se
havā par hai mizāj abr-e-karam kā
piyo rindo vo barse yā na barse
vo phir to dekhne kī chiiz ho gī
qayāmat jab uThe us rah-guzar se
hamāre paas jab dekho nayā dil
uThā laate haiñ un kī rah-guzar se
kahāñ rakkhī thī mahshar meñ ki piite
nichoḌī ham ne kuchh dāmān-e-tar se
hameñ to jiite jī kausar ko pilvā
ḳhudā-yā chhoḌ dī hai tere Dar se
'riyāz' us dil ke chalte ye huā haal
gire ham sab hasīnoñ kī nazar se
chale aate hain KHush KHush kis ke ghar se
wo hanste khelte baad-e-sahar se
wahin aa baiTha uTh kar udhar se
mila hai ghar mera dushman ke ghar se
maze ki chiz hai ye majma-e-hashr
hasin kya kya guzarte hain nazar se
zara chal kar tumhin us ko chuDao
kisi ki aahen uljhi hain asar se
hamare pas dil si chiz rahti
bachae rakhte hain un ki nazar se
kahan dil pa gae kya puchhte ho
uTha lae tumhaari rah-guzar se
hawa par hai mizaj abr-e-karam ka
piyo rindo wo barse ya na barse
wo phir to dekhne ki chiz ho gi
qayamat jab uThe us rah-guzar se
hamare pas jab dekho naya dil
uTha late hain un ki rah-guzar se
kahan rakkhi thi mahshar mein ki pite
nichoDi hum ne kuchh daman-e-tar se
hamein to jite ji kausar ko pilwa
KHuda-ya chhoD di hai tere Dar se
'riyaz' us dil ke chalte ye hua haal
gire hum sab hasinon ki nazar se
- Book : Riyaaz-e-Rizwan (Pg. 381)
- Author : Riyaz Khairabadi
- Publication : Kitaab Manzil, Lahore (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.