gulistan aur bayaban mein tu hi tu hai tu hi tu hai
gulistan aur bayaban mein tu hi tu hai tu hi tu hai
Chaudhary Dallu Ram
MORE BYChaudhary Dallu Ram
gulistāñ aur bayābāñ meñ tū hī tū hai tū hī tū hai
dil-e-ranjūr-o-shādāñ meñ tū hī tū hai tū hī tū hai
kabhī uljhā diyā ḳhud ko kabhī suljhā liyā ḳhud ko
kisī kī zulf-e-pechāñ meñ tū hī tū hai tū hī tū hai
kahīñ hai aañkh āshiq kī kahīñ dīdār-e-jānāñ hai
bahār-e-husn-e-tābāñ meñ tū hī tū hai tū hī tū hai
kabhī zamzam meñ jā Duubā kabhī gañgā meñ ā-niklā
ki hindū aur musalmāñ meñ tū hī tū hai tū hī tū hai
kahīñ tū pīr-e-maktab hai kahīñ tifl-e-abjad ḳhaañ
kitāboñ meñ dabistāñ meñ tū hī tū hai tū hī tū hai
kahīñ teacher kī ghurkī hai kahīñ shāgird kī ḳhidmat
moallim aur tiflāñ meñ tū hī tū hai tū hī tū hai
musaddas meñ muḳhammas meñ rubā.ī meñ taġhazzul meñ
ġharaz har ek dīvāñ meñ tū hī tū hai tū hī tū hai
jo DhūñDhā kausarī ne tujhko paaya har jagah yā-rab
ayaañ meñ aur nihāñ meñ tū hī tū hai tū hī tū hai
gulistan aur bayaban mein tu hi tu hai tu hi tu hai
dil-e-ranjur-o-shadan mein tu hi tu hai tu hi tu hai
kabhi uljha diya KHud ko kabhi suljha liya KHud ko
kisi ki zulf-e-pechan mein tu hi tu hai tu hi tu hai
kahin hai aankh aashiq ki kahin didar-e-jaanan hai
bahaar-e-husn-e-taban mein tu hi tu hai tu hi tu hai
kabhi zamzam mein ja Duba kabhi ganga mein aa-nikla
ki hindu aur musalman mein tu hi tu hai tu hi tu hai
kahin tu pir-e-maktab hai kahin tifl-e-abjad KHan
kitabon mein dabistan mein tu hi tu hai tu hi tu hai
kahin teacher ki ghurki hai kahin shagird ki KHidmat
moallim aur tiflan mein tu hi tu hai tu hi tu hai
musaddas mein muKHammas mein rubai mein taghazzul mein
gharaz har ek diwan mein tu hi tu hai tu hi tu hai
jo DhunDha kausari ne tujhko paya har jagah ya-rab
ayan mein aur nihan mein tu hi tu hai tu hi tu hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.