sajda-guzar sehn-e-haram bhi moatakif but-KHana bhi
sajda-guzār sehn-e-haram bhī mo.atakif but-ḳhāna bhī
dil jaisā hushiyār na dekhā dil jaisā dīvāna bhī
shoḳh-nigāheñ tīkhī-chitvan bīm-o-rajā kā a.alam haiñ
dil kī duniyā ishq ke hāthoñ bastī bhī vīrāna bhī
ham nahii. to kaisī mastī shīsha kyā paimāna kyā
tishna-laboñ ke dil kyā Duube Duub gayā mai-ḳhāna bhī
dil kī bhaḌaktī aag ke sho.ale ahl-e-jahāñ se kahte haiñ
mash.al-e-rāh huā karatā hai jaltā huā kāshāna bhī
ai piine vaale amrit ke zahar ke bhī do ghūñT sahī
duniyā vaale sunte jaao dard-bharā afsāna bhī
ghar ko aag lagā kartī hai ghar ke charāġh se ai 'aslam'
jaan rahe ho jis ko apnā hai to begāna bhī
sajda-guzar sehn-e-haram bhi moatakif but-KHana bhi
dil jaisa hushiyar na dekha dil jaisa diwana bhi
shoKH-nigahen tikhi-chitwan bim-o-raja ka aalam hain
dil ki duniya ishq ke hathon basti bhi virana bhi
hum nahi to kaisi masti shisha kya paimana kya
tishna-labon ke dil kya Dube Dub gaya mai-KHana bhi
dil ki bhaDakti aag ke shoale ahl-e-jahan se kahte hain
mashal-e-rah hua karata hai jalta hua kashana bhi
ai pine wale amrit ke zahar ke bhi do ghunT sahi
duniya wale sunte jao dard-bhara afsana bhi
ghar ko aag laga karti hai ghar ke charagh se ai 'aslam'
jaan rahe ho jis ko apna hai to begana bhi
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 40)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.