chehre pe jo tere nazar kar gaya
chehre pe jo tere nazar kar gayā
jaan se vo apnī guzar kar gayā
jis kī taraf se tirī āñkheñ phirīñ
ashk ke mānind safar kar gayā
muñh ko dekhā apne vo ḳhurshīd-rū
shām-e-ġharībāñ ko sahar kar gayā
us ko nikāle koī kis taur se
tīr-e-mizha siine meñ ghar kar gayā
ruḳhsat ma.uud thī hichkī na thī
chalte hue dam ye ḳhabar kar gayā
jo koī baiThā tire kūche meñ aa
uTh na sakā yaaro vo mar kar gayā
jis kī nazar 'ishq' ke uupar paḌī
chashm ke ta.iiñ apnī vo tar kar gayā
chehre pe jo tere nazar kar gaya
jaan se wo apni guzar kar gaya
jis ki taraf se teri aankhen phirin
ashk ke manind safar kar gaya
munh ko dekha apne wo KHurshid-ru
sham-e-ghariban ko sahar kar gaya
us ko nikale koi kis taur se
tir-e-mizha sine mein ghar kar gaya
ruKHsat maud thī hichki na thī
chalte hue dam ye KHabar kar gaya
jo koi baiTha tere kuche mein aa
uTh na saka yaro wo mar kar gaya
jis ki nazar 'ishq' ke upar paDi
chashm ke tain apni wo tar kar gaya
- Book : Kulliyat-e-Ruknuddin Ishq aur Unki Hayat aur Shaeri (Pg. 3)
- Author : Quraisha Husain
- Publication : The Azad Press, Patna (1979)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.