chhup is tarah ki tera aks bhi dikhai na de
Interesting Fact
(ارباب قلم۔ کراچی)
chhup is tarah ki tirā aks bhī dikhā.ī na de
tirī sadā tirī āvāz bhī sunā.ī na de
vo zulmateñ haiñ rah-e-zīst meñ qadam-ba-qadam
charāġh-e-dil bhī jalā.eñ to kuchh sujhā.ī na de
is aarzū se hazar ḳhū-e-zindagī se hazar
jo tāb-o-tāqat-e-iz.hār-e-lab-kushā.ī na de
salīb-o-dār se hogā muāniqa apnā
tū mere haath meñ apnī hasīñ kalā.ī na de
thakan bhī saath hai mere thakan kā saaya bhī
mire jalāl ko ta.an-e-shikasta-pā.ī na de
huī qalam-rav-e-nazzāra nuur se ḳhālī
ba-juz dhueñ ke kahīñ raushnī dikhā.ī na de
atā huī hai qalam kī sikandarī ham ko
hamāre haath meñ tū kāsa-e-gadā.ī na de
ye mujh se kahtā hai 'aḳhtar' nigār-e-nā-ḳhvānda
ki ḳhuun meñ Duubī ziist kī duhā.ī na de
chhup is tarah ki tera aks bhi dikhai na de
teri sada teri aawaz bhi sunai na de
wo zulmaten hain rah-e-zist mein qadam-ba-qadam
charagh-e-dil bhi jalaen to kuchh sujhai na de
is aarzu se hazar KHu-e-zindagi se hazar
jo tab-o-taqat-e-izhaar-e-lab-kushai na de
salib-o-dar se hoga muaniqa apna
tu mere hath mein apni hasin kalai na de
thakan bhi sath hai mere thakan ka saya bhi
mere jalal ko tan-e-shikasta-pai na de
hui qalam-raw-e-nazzara nur se KHali
ba-juz dhuen ke kahin raushni dikhai na de
ata hui hai qalam ki sikandari hum ko
hamare hath mein tu kasa-e-gadai na de
ye mujh se kahta hai 'aKHtar' nigar-e-na-KHwanda
ki KHun mein Dubi zist ki duhai na de
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 161)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.