dawar-e-hashr ye he hashr mein arman mujhko
dāvar-e-hashr ye hai hashr meñ armāñ mujh ko
badle jannat ke mile kūcha-e-jānāñ mujh ko
le ga.e le ga.e dil kar ga.e be-jāñ mujh ko
de ga.e de ga.e dāġh-e-ġham-e-hijrāñ mujh ko
maiñ to ka.abe kī taraf dil ko chalā thā le kar
le chalā dil taraf-e-kūcha-e-jānāñ mujh ko
ashk-shoī ġham-e-furqat meñ yūñhī hotī hai
hañs diyā karte haiñ vo dekh ke giryāñ mujh ko
jis taraf kūcha-e-qātil meñ guzar hotā hai
nazar aate haiñ udhar maut ke sāmāñ mujh ko
mirī taqdīr ki tum sā to masīhā paayā
aur phir bhī na milā dard kā darmāñ mujh ko
yuuñ akele tirā jaanā nahīñ achchhā sar-e-hashr
saath le le but-e-ġhārat-gar-e-īmāñ mujh ko
kāfir-e-ishq-e-butāñ huuñ maiñ ta.ajjub hai 'jigar'
kyuuñ musalmān samajhte haiñ musalmāñ mujh ko
dawar-e-hashr ye hai hashr mein arman mujh ko
badle jannat ke mile kucha-e-jaanan mujh ko
le gae le gae dil kar gae be-jaan mujh ko
de gae de gae dagh-e-gham-e-hijran mujh ko
main to kabe ki taraf dil ko chala tha le kar
le chala dil taraf-e-kucha-e-jaanan mujh ko
ashk-shoi gham-e-furqat mein yunhi hoti hai
hans diya karte hain wo dekh ke giryan mujh ko
jis taraf kucha-e-qatil mein guzar hota hai
nazar aate hain udhar maut ke saman mujh ko
meri taqdir ki tum sa to masiha paya
aur phir bhi na mila dard ka darman mujh ko
yun akele tera jaana nahin achchha sar-e-hashr
sath le le but-e-ghaarat-gar-e-iman mujh ko
kafir-e-ishq-e-butan hun main tajjub hai 'jigar'
kyun musalman samajhte hain musalman mujh ko
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 216)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.