zahe talash ki sargarm-e-justuju ho kar
zahe talāsh ki sargarm-e-justujū ho kar
milā huuñ rañg meñ rañg aur bū meñ bū ho kar
tirī galī meñ tire dil kā naqsh hoke rahā
raqīb miT na gayā merī aabrū ho kar
vahāñ kalīm se vo naaz yaañ ye da.ave haiñ
kabhī hijāb na ho ham se guftugū ho kar
nigāh-e-shauq ne kyā ḳhvāb meñ nahīñ dekhā
nayā hijāb hai chhupte ho rū-ba-rū ho kar
nigah nigah se tirī vaar thā ki dil merā
mizha se Tapaktā rahā lahū ho kar
hamāre jazb-e-mohabbat ko dekhtā qātil
ki rah gayā terā ḳhanjar rag-e-gulū ho kar
butoñ ke ḳhauf se Dar-Dar ke rah gayā huuñ maiñ
hazār martaba āmāda-e-vuzū ho kar
huā huuñ maiñ bhī ai 'dāġh' apnā dushman aap
zamāna dost hai us kā mirā ’adū ho kar
zahe talash ki sargarm-e-justuju ho kar
mila hun rang mein rang aur bu mein bu ho kar
teri gali mein tere dil ka naqsh hoke raha
raqib miT na gaya meri aabru ho kar
wahan kalim se wo naz yan ye dawe hain
kabhi hijab na ho hum se guftugu ho kar
nigah-e-shauq ne kya KHwab mein nahin dekha
naya hijab hai chhupte ho ru-ba-ru ho kar
nigah nigah se teri war tha ki dil mera
mizha se Tapakta raha lahu ho kar
hamare jazb-e-mohabbat ko dekhta qatil
ki rah gaya tera KHanjar rag-e-gulu ho kar
buton ke KHauf se Dar-Dar ke rah gaya hun main
hazar martaba aamada-e-wuzu ho kar
hua hun main bhi ai 'dagh' apna dushman aap
zamana dost hai us ka mera ’adu ho kar
- Book : Majmua-e-Qawwali, Part 4 (Pg. 9)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.