kiya tha jurm-e-wafa lazzat-e-saza ke liye
kiyā thā jurm-e-vafā lazzat-e-sazā ke liye
sitam ke lutf uThā.e maze jafā ke liye
ḳhudā kare na kisī kā umīd-vār-e-visāl
duā.eñ māñgte haiñ tark-e-mudda’ā ke liye
baḌā maza ho jo mahshar meñ ham kareñ shikvā
vo minnatoñ se kaheñ chup raho ḳhudā ke liye
zabāñ jalā.ī siye hoñT qat.a haath kiye
ye bandobast hue haiñ mirī du'ā ke liye
mire mazār ko to vo banāyā tīroñ se
bahāna ye hai ki rauzan kiye havā ke le
mile jo hashr meñ le luuñ zabān nāseh kī
'ajīb chiiz hai ye tūl-e-mudda’ā ke liye
sharīr aañkh nigah be-qarār chitvan shoḳh
tum apnī shakl to paidā kaaro hayā ke liye
nayā sitam hai sitamgar ne qatl par mere
kiyā hai jam.a raqīboñ ko marhabā ke liye
tire kahe se ham ai 'dāġh' chhoḌ deñge 'ishq
ḳhudā kā vāsta detā hai kyuuñ ḳhudā ke liye
kiya tha jurm-e-wafa lazzat-e-saza ke liye
sitam ke lutf uThae maze jafa ke liye
KHuda kare na kisi ka umid-war-e-visal
duaen mangte hain tark-e-mudda’a ke liye
baDa maza ho jo mahshar mein hum karen shikwa
wo minnaton se kahen chup raho KHuda ke liye
zaban jalai siye honT qata hath kiye
ye bandobast hue hain meri du'a ke liye
mere mazar ko to wo banaya tiron se
bahana ye hai ki rauzan kiye hawa ke le
mile jo hashr mein le lun zaban naseh ki
'ajib chiz hai ye tul-e-mudda’a ke liye
sharir aankh nigah be-qarar chitwan shoKH
tum apni shakl to paida karo haya ke liye
naya sitam hai sitamgar ne qatl par mere
kiya hai jama raqibon ko marhaba ke liye
tere kahe se hum ai 'dagh' chhoD denge 'ishq
KHuda ka wasta deta hai kyun KHuda ke liye
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 22)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.